Huaa hai haaye rukhsat Maahe Ramzaan Ya Rasulallah Lyrics



Huaa hai haaye rukhsat Maahe Ramzaan Ya Rasulallah
Musarrat hi Musarrat aur Khushi hi thi khushi har Dam
Nazar aaya Hilaale Maahe Ramzaan Ya Rasulallah

Fazaaein Noor barsaati Hawaaein muskurati thi
Samaa ab ho gaya afsos Wiraan Ya Rasulallah

Riyazat kuchh na ki Hamne Ibaadat kuchh na ki Hamne
Rahe bas har gadi Mashgule Isyaan Ya Rashulallah

Mein haae jee churaata hi rahaa Rabb ki Ibaadat se
Guzaara gaflaton mein saara Ramzaan Ya Rasulallah

Mein sota reh gayaa gaflat ki Chaadar taan kar afsos
Khudara Meri bakhshish ka ho samaan Ya Rasulallah

Judai ki gadi afsos hai Usshaaqe Ramzaan par
Chalaa In ko rulaa kar Maahe Ramzaan Ya Rasulallah

Tadapte hein bilakte hein Karaar aata nahin Inko
Bahot be-chain hein Usshaqe Ramzaan Ya Rasulallah

Gunahon ki Siyaahi chha rahi hai rukh pe Mehshar mein
Mera Chehra paye Ramzaan ho Taaban Ya Rasulallah

Khuda ke nek Bande Nekiyon mein lag gaye lekin
Gunah karta raha badkaaro nadaan Ya Rasulallah

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye sare ghulaam Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Mera Badshah Husain hai Lyrics / मेरा बादशाह हुसैन है / میرا بادشاہ حسین ہے

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام