Malik Ne Banaye Sare, Ye Donon Jahaan ke Nazaare || मालिक ने बनाये सारे , ये दोनों जहां के नज़ारे || Full Lyrics || Kawwali ||


Roman(Eng) :

Aaye Lakhon Payambar Jahaan mein Magar
Koi Allah ko Itnaa Pyaara Nahin
Arshe Aazam pe Ek Mustafaa ke Siwaa
Fir Khuda Ne kisi ko Pukaara Nahin

Jo Muhammad ki Ulfat ka Qaaeel Nahin
Donon Aalam mein Uska Guzaara Nahin
Khud Khuda wande Aalam ne Farmaan diya
Jo Nabi ka Nahin Wo Hamaara Nahin

Ye Muhabbat Aqidat hai Ahesaan hai
Ye Nawaazish Meharbaani Ye Shaan hai
Meri Ummat Jahannam ka Munh dekhle
Ye Rasoole Khuda ko gawaara nahin

Jafaa Karne wale Wafaa kab Karega
Bata To Sahi Faisala kab Karega
Sehar Ho Chuki Iltija kab Karega
Tu Sajde mein Jaake Duaa kab Karega
Kazaa Karne waale Adaa kab Karega

Ibaadat Khuda ki Bataa kab Karega
Jo Waada kiya hai Wafaa kab Karega
Dilo Jaan Un Par Fidaa kab Karega
Maraz bad Raha hai Dawaa kab Karega


Maalik ne Banaaye Saare , Ye Donon Jahaan ke Nazaare
Nabi Ke Waasate , Nabi Ke Waasate

Allah ne Dekho Utaare , Quraan ke Teesno Paare
Nabi Ke Waasate , Nabi Ke Waasate

Imaan ke Phool Khilaaye , Bharat mein Khwaaja Aaye
Nabi Ke Waasate , Nabi Ke Waasate

Tu hai Kareem Tujko , Deta hun Mein Sadaayein
Sadqe mein Mustaafa ke Sun Meri Iltijaein

Aadam ne Jab Waseela , Unko Banaa Liyaa hai
Sab Naame Mustafa ke Sadqe mein Paa liyaa hai
Maqbool hui hein Duaaein , Barsi Rehmat ki Gataaein

Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate
Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate

Jibreel Aaye Aakar , Di Aapko Salaami
Ki arz Ya Muhammad ! Aye be kason ke haami

Musibat se fursat nahin milne waali
Qayamat mein Raahat nahin milne waali
Agar Dil me Ishqe Muhammad nahin to
Chal hat... namazon se Jannat nahin milne waali

Namaz padta hai qaeel nahin waseele ka
Tu Apna kaam khilafe usool kartaa hai
Aur Jisko khayale Nabi rehta hai Namazon mein
Khuda Usi ki namaazein qubool kartaa hai

Agar Imaan ka saadiq tareena chhut jaayega
Sadaaqat rooth jaayegi Madina chhut jaayega
Are Jinke Naam se bezaar hein kuchh log Duniya mein
Agar Aehsaan ginwaa dun paseenaa chhut jaayega


Jibreel Aaye Aakar , Di Aapko Salaami
Ki arz Ya Muhammad ! Aye be kason ke haami
Ke Aapka Jahaan mein saani hai aur na saaya
Hai Aapko Khudaa ne meraaj mein bulaaya
Khalik ne Noor lutaaya , Aur Arshe bari ko sajaaya

Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate
Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate

Duniya ka zarra zarra , Unke liye banaa hai
Wo hein Khuda ke pyaare , Un par fidaa Khuda hai
Donon Jahaan mein afzal , Unka hi martabaa hai
Allah ke baad goyaa ek Naame Mustafa hai
Aesa Unka rutbaa hai Allah bhi be parda hai

Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate
Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate

Meri Zindagi Nabi se , Meri bandagi Nabi se
Ye Khuda bhi keh rahaa hai , Meri har khushi Nabi se

Nabi ke Naam mein Wahdaaniyat ki khushbu hai
Nabi ke Naam mein Hakkaniyat ki khushbu hai
Nabi ke Naame Mubarak mein fazle izzat hai
Aur Nabi ka Naam Nabuwwat ki Aakhri hadd hai

Nabi ka Naam hi kanoon hai Ilaahi ka
Nabi ka Naam hi Ek Josh hai Sipahi ka
Nabi ka Naam hi Aaeena-e-Sadaakat hai
Aur Nabi ka Naam hi Insaaf ki zamaanat hai

Ye Naam Dil ke haram mein diye jalaata hai
Ye Naam Zehan ki taarikiyaan mitaata hai
Ye Naam Noor hai , Aejaaz hai , qabeera hai
Ye Naam Haq ke ta-affuz ka ek Waseela hai

Nabi ke Naam ka hai Noor Chaand Taaron mein
Nabi ke Naam ki khushbu hai Tees Paaron mein
Nabi ka Naam hi har qalbo jaan ki raahat hai
Nabi ka Naam hi Imaan ki Alaamat hai

Nabi ka Naam hi mehshar mein kaam aayegaa
Nabi ka Naam hi Ham sab ko bakhshwaayega
Nabi ka Naam Duaa bhi hai aur Ibaadat bhi
Nabi ka Naam Muhabbat hai aur Rehmat bhi

Nabi ka Naam Wazeefaa hai Marde Momeen ka
Nabi ke Naam ke sadqe jahaan mein bant-te hein
Nabi ke Naam se baadal ghamon ke jadte hein
Nabi ka Naam muqaddas hai aur mukarram hai
Nabi ke Naam ki Meraaj Arshe Aazam hai

Nabi ke Naam ki Azmat Husain se puchho
Ali o Fatima Zahra ke chain se puchho
Nabi ka Naam Musalmaan bhula nahi sakte
Nabi ke Naam ko Dushman mitaa nahin sakte


Meri zindagi Nabi se Meri bandagi Nabi se
Ye Khuda bhi keh raha hai Meri har khushi Nabi se
Pyaare Nabi ke sadqe sab kuchh ataa karunga
Sadqe mein Mustafa ke Daaman Tera bharunga
Tu Deen ka banjaa gazi , Allah bhi hoga raazi

Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate
Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate

Jin par falak nichhaawar , Qurbaan Chaand Taare
Karbal mein bhukhe pyaase the Wo Ali ke pyaare

Khuddar zindagi ka takaaza hai Doston
Ke jeena Nabi se sikho to Marnaa Husain se sikho
Kyunke Paidaishi khuddar tha khuddar hi rahaa
Aur Wo khuld ka Sardar tha Sardar hi rahaa

Sar de diya Yazeed ko par diyaa na Haath
Are Jazbat se inkaar tha inkaar hi raha
Yazeed Tu ye khuli baat bhi samaj na saka
Fasrishta kab kisi shayda ke saath mein aata

Wo Haath jise Rasoole Khuda ne chumaa ho
Wo Haath kab kisi na-paak Haath mein Aata
Tamaam zulm Teri zindagi pe toot pade
Sad afareen Teri himmat pe Tu nahin toota

Aur Husain ! kyun na ho Jaane Namaaz Sajdaa Tera
Teri saans to tooti , Wuzu nahin toota
Rooh mein Karbalaa ki Aahat hai
Mujko mehsoos ho rahe hein Hussain

Suno Suno Aaj ki Raat jaagna hai Muje
Kyunki Meri Aankhon mein so rahe hein Hussain
Sailaab dekhta hun to aata hai ye khayaal
Ke paani bhatak raha hai talaashe Hussain mein
 
Ahesaas karbala ka Tuje ho jaayega Us Din
Tanhaa kisi aziz ki mayyat ko uthaate
Magar Chullu me leke fenk diya aabe mehar ko
Are Abbas ne faraat ko pani pilaa diya

Bachaake sholon se Aabid ko leke aayi hai
Kamar pe baare Imaamat utha ke laayi hai
Are Ali ki beti ko juk kar salaam kar Islam
Kyunki Teri amanatein ghar tak bachaa kar layee hai


Jin par falak nichhaawar , Qurbaan Chaand Taare
Karbal mein bhukhe pyaase the Wo Ali ke pyaare
Hai koi Is tarhaa jo , Haq par fidaa hua hai
Sajde mein Jiska Sar bhi tan se judaa hua hai
Shabbir ne Sar ko kataya Bachpan ka waada nibhaya

Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate
Nabi Ke Waasate  Nabi Ke Waasate



हिंदी:

आये लाखों पयम्बर जहां में मगर
कोई अल्लाह को इतना प्यारा नहीं
अर्शे आज़म पे एक मुस्तफा के सिवा
फिर खुदा ने किसी को पुकारा नहीं

जो मुहम्मद की उल्फत का क़ाइल नहीं
दोनों आलम में उसका गुज़ारा नहीं
खुद ख़ुदावन्दे आलम ने फार्मा दिया
जो नबी का नहीं वो हमारा नहीं

ये मुहब्बत अक़ीदत है अहसान है
ये नवाज़िश महेरबानी ये शान है
मेरी उम्मत जहन्नम का मुंह देख ले
ये रसूले खुदा को गवारा नहीं

जफ़ा करने वाले वफ़ा कब करेगा
बता तो सही फैसला कब करेगा
सहर हो चुकी इल्तिजा कब करेगा
तू सजदे में जाकर दुआ कब करेगा
क़ज़ा करने वाले अदा कब करेगा

इबादत खुदा की बता कब करेगा
जो वादा किया है वफ़ा कब करेगा
दिलो जान उन पर फ़िदा कब करेगा
मरज़ बढ़ रहा है दवा कब करेगा


मालिक ने बनाये सारे , ये दोनों जहां के नज़ारे
नबी के वास्ते , नबी के वास्ते

अल्लाह ने देखो उतारे , क़ुरआन के तीसों पारे
नबी के वास्ते , नबी के वास्ते

ईमान के फूल खिलाये , भारत में ख्वाजा आये
नबी के वास्ते , नबी के वास्ते

तू है करीम तुझको देता हूँ में सदाएं
सदक़े में मुस्तफा के सुन मेरी इल्तिजाएँ

आदम ने जब वसीला उनको बना लिया है
सब नाम मुस्तफा के सदक़े में पा लिया है
मक़बूल हुई हैं दुआएं , बरसी रेहमत की घटाएं

नबी के वास्ते , नबी के वास्ते
नबी के वास्ते , नबी के वास्ते


जिब्रील आये आकर , दी आपको सलामी
की अर्ज़ या मुहम्मद ! अये बेकसों के हामी

मुसीबत से फुर्सत नहीं मिलने वाली
क़यामत में राहत नहीं मिलने वाली
अगर दिल में इश्क़े मुहम्मद नहीं तो
चल हट नमाज़ों से जन्नत नहीं मिलने वाली

नमाज़ पड़ता हैं क़ाइल नहीं वसीले का
तू अपना काम ख़िलाफ़े उसूल करता है
और जिसको ख़याले नबी रहता है नमाज़ों में
खुदा उसी की नमाज़ें क़ुबूल करता है

अगर ईमान का सादिक़ तरीना छूट जाएगा
सदाक़त रुठ जायेगी , मदीना छूट जाएगा
अरे जिनके नाम से बेज़ार हैं कुछ लोग दुनिया में
अगर अहसान गिनवा दूँ , पसीना छूट जाएगा


जिब्रील आये आकर , दी आपको सलामी
की अर्ज़ या मुहम्मद ! अये बेकसों के हामी
के आपका जहाँ में सानी है और न साया
है आपको खुदा ने मेराज में बुलाया
ख़ालिक़ ने नूर लुटाया , और अर्शे बरी को सजाया

नबी के वास्ते , नबी के वास्ते
नबी के वास्ते , नबी के वास्ते


दुनिया का ज़र्रा ज़र्रा , उनके लिए बना है
वो हैं खुदा के प्यारे , उन पर फ़िदा खुदा है
दोनों जहाँ में अफ़ज़ल , उनका ही मर्तबा है
अल्लाह के बाद गोया एक नाम मुस्तफा है
ऐसा उनका रुतबा है , अल्लाह भी बेपर्दा है

नबी के वास्ते , नबी के वास्ते
नबी के वास्ते , नबी के वास्ते


मेरी ज़िन्दगी नबी से , मेरी बंदगी नबी से
ये खुदा भी कह रहा है , मेरी हर ख़ुशी नबी से

नबी के नाम में वहदानियत की खुशबु है
नबी के नाम में हक्कानियत की खुशबु है
नबी के नाम मुबारक में फैले इज़्ज़त है
और नबी का नाम नबुव्वत की आखरी हद्द है

नबी का नाम ही कानून है इलाही का
नबी का नाम ही एक जोश है सिपाही का
नबी का नाम ही आईना-इ-सदाक़त है
और नबी का नाम ही इंसाफ की ज़मानत है

ये नाम दिल के हरम में दिए जलाता है
ये नाम ज़हन की तारीकियां मिटाता है
ये नाम नूर है , एजाज़ है, कबीरा है
ये नाम हक़ के तअफ्फ़ुज़ का एक वसीला है

नबी के नाम का है नूर चाँद तारों में
नबी के नाम की खुशबु है तीस पारों में
नबी का नाम ही हर कलबो जां की राहत है
नबी का नाम ही ईमान की अलामत है

नबी का नाम ही महेशर में काम आएगा
नबी का नाम ही हम सब को बखसवायेगा
नबी का नाम दुआ भी है और इबादत भी
नबी का नाम मुहब्बत है और रेहमत भी

नबी का नाम वज़ीफ़ा है मर्दे मोमीन का
नबी के नाम के सदक़े जहां में बंटते हैं
नबी के नाम से बादल ग़मों के जड़ते हैं
नबी का नाम मुक़द्दस है और मुकर्रम है
नबी के नाम की मेराज अर्शे आज़म है

नबी के नाम की अज़मत हुसैन से पूछो
अली ओ फातिमा ज़हरा के चैन से पूछो
नबी का नाम मुसलमान भुला नहीं सकते
नबी के नाम को दुश्मन मिटा नहीं सकते


मेरी ज़िन्दगी नबी से , मेरी बंदगी नबी से
ये खुदा भी कह रहा है , मेरी हर ख़ुशी नबी से
प्यारे नबी के सदक़े , सब कुछ अत करूँगा
सदक़े में मुस्तफा के दामन तेरा भरूंगा
तू दीन का बनजा ग़ाज़ी, अल्लाह भी होगा राज़ी

नबी के वास्ते , नबी के वास्ते
नबी के वास्ते , नबी के वास्ते


जिनपर फलक निछावर , क़ुर्बान चाँद तारे
कर्बल में भूखे प्यासे , थे वो अली के प्यारे

खुद्दार ज़िन्दगी का तकाज़ा है दोस्तों
के जीना नबी से सीखो तो मरना हुसैन से सीखो
क्यूंकि पैदाइशी खुद्दार था खुद्दार ही रहा
और वो खुल्द का सरदार था , सरदार ही रहा

सर दे दिया यज़ीद को पर दिया न हाथ
अरे जज़्बात से इंकार था इन्कार ही रहा
यज़ीद तू ये खुली बात भी समाज न सका
फरिश्ता कब किसी शायद के साथ में आता

वो हाथ जिसे रसूले खुदा ने चूमा हो
वो हाथ कब किसी नापाक हाथ में आता
तमाम ज़ुल्म तेरी ज़िन्दगी पे टूट पड़े
सद आफरीन तेरी हिम्मत पे तू नहीं टूटा

और हुसैन ! क्यों न हो जाने नमाज़ सजदा तेरा
तेरी सांस तो टूटी , वुज़ू नहीं टूटा
रूह में कर्बला की आहट है
मुझको महसूस हो रहे हैं हुसैन

सुनो सुनो आजकी रात जागना है मुझे
क्यूंकि मेरी आँखों में सो रहे हैं हुसैन
सैलाब देखता हूँ तो आता है ये ख़याल
के पानी भटक रहा है तलाशे हुसैन में

अहसास कर्बला का तुजे हो जाएगा उस दिन
तनहा किसी अज़ीज़ की मय्यत को उठाते
मगर चुल्लू में लेके फेंक दिया आबे महेर को
अरे अब्बास ने फरात को पानी पीला दिया

बचा के शोलों से आबिद को लेके आयी है
कमर पे बारे इमामत को लेके आयी है
अरे अली की बेटी को जुक कर सलाम कर इस्लाम
क्यूंकि तेरी अमानतें घर तक बचा कर लेके आयी है


जिनपर फलक निछावर , क़ुर्बान चाँद तारे
कर्बल में भूखे प्यासे , थे वो अली के प्यारे
है कोई इस तरह जो , हक़ पर फ़िदा हुआ है
सजदे में जिनका सर भी तन से जुदा हुआ है
शब्बीर ने सर को कटाया , बचपन का वादा निभाया

नबी के वास्ते , नबी के वास्ते
नबी के वास्ते , नबी के वास्ते

malik ne banaye sare mp3 download, nabi ke vaste lyrics, aye lakho payambar jahan me magar lyrics, allah janta hai mohammad ka martaba lyrics, nabi ke vaste ringtone download, nabi ke waste qawwali mp3 download mr jatt, nabi ke vaste mp3 download pagalworld, nabi ke vaste qawwali mp3 download, nabi ke vaste qawwali lyrics in hindi, malik ne banaye sare qawwali lyrics, nabi ke vaste lyrics, allah janta hai mohammad ka martaba lyrics,

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aa gaya Ramzan hai Kalam lyrics by Bilal Qadri in English ~ Hindi

Aye Shahenshahe Madina Assalat-o-Wassalam || अये शहंशाहे मदीना अस्सलातु वस्सलाम || اے شہنشاہِ مدینہ ! اَصَّلَاتُ وَ اسّلَامْ