Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics in English ~ Hindi


Alwida Alwida Alwida hai

Alwida Alwida Alwida hai
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Din Tere aane se mo'tbar the
Noor me.n dube shaam-o-sehar the
Tere jaane se dil ro raha hai
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Alwida Alwida Alwida hai
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Sehri Iftar qir’at tarawih
Aur azaan-e-namazein o tasbeeh
Yeh samaa.n noori tuj se mila hai
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Alwida Alwida Alwida hai,
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Rehmato.n ka Tu paigam laya
barkato.n ka Tu in'aam laya
Rutba aala-o-afzal Tera hai
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Alwida Alwida Alwida hai,
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Jaam rehmat kay Tune pilaye
Gul muradoon ke Tune khilaye
Tu juda hum say ab ho raha hai
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Alwida Alwida Alwida hai,
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Humko baykal Tu paye ga tab tak
Gar rahe zinda agle baras tak
Phir mile.nge jo huqm-e-Khuda hai
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Alwida Alwida Alwida hai,
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Chal diya hai Tu jo Rab ki janib
Ahl-e-Imaa.n ke purnam he.n Qaalib
Qalb-e-Ishrat bhi gam say bhara hai
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Alwida Alwida Alwida hai,
Maah-e-Ramzan bas alwida hai

Humko bekal tu payega tab tak
Gar rahay zinda agle baras tak.
Phir milengay jo huqm e Khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.

Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramzan bas alwida hai.

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Aye Shahenshah e Madina As-salat-o-Was-salam Lyrics in English Hindi Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو