Aey Sabz Ghumbad Waale Manzoor Dua Karna

Aey Sabz Ghumbad Waale Manzoor Dua Karna
Jab Waqte Naza Aaey Didaar Ata Karna

Aey Noorey Khuda Aakar, Aankho Mei Sama Jaana
Ya Dar Pe Bula Lena, Ya Khwaab Mei Aa Jaana
Aey Pardaah Nashi Dil Ke, Parde Mei Raha Karna

Mehboobe Ilaahi Sa, Koi Na Hasin Dekha
Yeh Shaan Hai Unki Ke, Saayaah Bhi Nahi Dekha
Allah Ne Saaey Ko, Chaaha Na Juda Karna

Maí Qabr Andheri Mei, Ghabraa-Unga Jab Tanha
Imdaad Ko Meri Tum, Aa Jaana Zara Shaaha
Roshan Meri Turbat Ko, Lillaah Zara Karna

Mujrim Hu Jahaa Bhar Ka, Mehshar Mei Bharam Rakhna
Ruswaaey Zamaana Hu, Aaqa Kamli Mei Chupa Lena
Maqbool Dua Meri, Mehboobe Khuda Karna

Chehre Se Ziya Paai, Sab Chaand Sitaaro Ne
Is Dar Se Shifa Paai, Dukh Dard Ke Maaro Ne
Aata Hai Unhe Sabir, Har Dukh Ki Dawa Karna

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Hum ne Aankhon se dekha nahin hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर