Aaj Abdullah ke angan mai rut aai bahar ki
Aaj Abdullah ke angan mai rut aai bahar ki
Jashn e eid e miladunnabi hai amad hai sarkar ki
Bara rabiul avval ka din sub'h ke saye
Dayee halima ki godi mai pyare Muhammad aaye
Hui Viladat Peer ke din Rabb ke dildar ki
Havva Mariyam dekh ke boli Pyare nabi ka mukhda
Amena tera bacha hai ya koi chand ka tukda
Badi hai ronak dekho dekho amena ke ghar bar ki
Jagmag jagmag chamke dekho makka aur madina
Salle ala ki gunj se dekho Roshan ho gaya sina
Talib e har she hone lagi hai Rabb ke dildar ki
Aasiyo aao aage bado sab rabb ke dilbar aaye
Noor hua hai har su har she saiyyed e anvar aaye
Diye jalao savari aayee shahe abraar ki
Comments
Post a Comment