Ta'ajjub Kya Agar Shayar Sukhan Par Naat Padte Hai



Ta'jjub kya agar shayar sukhan par naat padte hai
Ke abu jahal ki mutthi me kankar naat padte hai

Yaha par munkiron  ko naat se taklif hoti hai
Vaha shehar-e-madina me kabutar naat padte hai

Madine ki judai jab satati hai garibo ko 
Vo apne peer ka daman pakad kar naat padte hai

Yazeedo ke kaleje fatne lagte hai adavat se
Husaini kafile me jab bahattar naat padte hai

Vo jis masjid me aqa sunte the Hassan se naate
Vaha pe aj bhi mehrabo mimbar naat padte hai

Hamari naat darbar-e-risalat tak pohanch jae
Jabhi ham duroode pak pad kar naat padte hai

Dua maa baap ki hai aur karam hai rabbe akbar ka
Nabi ki bazm me SHADAB O PAIKAR naat padte hai

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu