Taajjub Kya Agar Shayar Sukhan Par Naat Padte Hai / तअज्जुब क्या अगर शायर सुख़न पर नात पढ़ते हैं / تَعَجُّب کیا اگر شاعر سُخن پر نعت پڑھتے ہیں
ta'jjub kya agar shayar sukhan par naat padte hai ta'jjub kya agar shayar sukhan par naat padte hai ke abu jahal ki mutthi mein kankar naat padte hai yahaan par munkiron ko naat se taklif hoti hai wahaan shahar-e-madina mein kabutar naat padte hai madine ki judaai jab sataati hai garibon ko wo apne peer ka daman pakad kar naat padte hai yazeediyon ke kaleje fatne lagte hai adaawat se husaini kaafile mein jab bahattar naat padte hai wo jis masjid mein aqa sunte the hassaan se naatein wahaan pe aaj bhi mehraab-o-mimbar naat padte hai hamari naat darbaar-e-risaalat tak pohanch jaae jabhi ham durood-e-pak pad kar naat padte hai dua maa baap ki hai aur karam hai rabb-e-akbar ka nabi ki bazm mein shadab o paikar naat padte hai तअज्जुब क्या अगर शायर सुख़न पर नात पढ़ते हैं तअज्जुब क्या अगर शायर सुख़न पर नात पढ़ते हैं कि अबू जहल की मुट्ठी में कंकर नात पढ़ते हैं ...