Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki Naat Lyrics || Siddique Ismail

Noori Mehfil Pe Chaadar Tani Noor Ki
Noor Faila Hua Aaj Ki Raat hai
Chandani mein hein doobe hue DoJahan
Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai

Farsh Par Dhum hai Arsh Par Dhum hai
Bad Nasibi hai Uski Jo Mehroom hai
Fir Milegi Ye Shab Kisko Maloom hai
Aam Lutfe Khuda Aaj ki Raat hai

Chandani mein hein doobe hue DoJahan
Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai

Abre Rehmat hai Mehfil pe Chhaye hue
Aasmaan se Malaeek aaye hue
Khud Muhammad hein Tashreef laaye Hue
Kaisi Ronak Fiza Aaj Ki Raat Hai

Chandani mein hein doobe hue DoJahan
Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai

Khub hone do Ashko ki Barsaat ko
Do Salaami Muhammad ki Baraat ko
Chum lo Chum lo Aaj ki Raat ko
Shab Qadar ke Guman Aaj ki Raat hai

Chandani mein hein doobe hue DoJahan
Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai

Maangalo Maangalo Chashme-Tar Maangalo
Darde Dil aur Husne Nazar Mangalo
Kamli waale ki Nagri mein Ghar Maangalo
Maangane ka Maza Aaj ki Raat hai

Chandani mein hein doobe hue DoJahan
Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai

Mominon Aaj Ghanje Sakha loot lo
Loot lo Aye Marizon Shifa loot lo
Aasiyon Rehmate Mustafa loot lo
Baabe Rehmat Khula Aaj ki Raat hai

Chandani mein hein doobe hue DoJahan
Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai

Waqt laaye Khuda Sab Madine Chalein
Loot ne Rehmaton ke Khazinein Chalein
Sabki Manzil ki Jaanib Safinein Chalein
Meri Saaeem Dua Aaj Ki Raat Hai

Noori Mehfil Pe Chaadar Tani Noor Ki
Noor Faila Hua Aaj Ki Raat hai
Chandani mein hein doobe hue DoJahan
Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Hum Apne Nabi Pak se yun Pyar karenge Lyrics / हम अपने नबी पाक से यूँ प्यार करेंगे

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya Lyrics / गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया

Dekhte kya ho Ahle Safa Lyrics / देखते क्या हो अहले सफ़ा / دیکھتے کیا ہو اہلِ صفا