Muzda Bad Aye Aasiyo Shafe e Shahe Abrar hai Lyrics

muzda-baad aye aasiyo.n ! shaafe'-e-shah-e-abraar hai
teheniyat aye mujrimo.n ! zaat-e-KHuda gaffar hai

chaand shak ho, ped bolein, jaanawar sajda karein
barakallah marja-e-aalam yahi sarkaar hai

jinko soo-e-aasama.n faila ke jal thal bhar diye
sadqa un haatho.n ka pyaare humko bhi darkaar hai

gore-gore paao.n chamka do KHuda ke waaste
noor ka tadka ho pyaare ghor shab ki taar Hai

tere hi daaman pe har aasi ki padti hai nazar
ek jaan-e-be-khata par do-jahaa.n ka baar hai

rahamatullil aalami.n teri duhaaee dab gaya
ab to maula be tarha sar par gunaaho.n ka baar hai

gunj gunj utthe hein nagmaat-e-raza ze bostaa.n
kyu.n na ho kis phool ki mid'hat mein waaminkaar hai


Comments

  1. mashallah bahut khubsourAT NAAT
    KALAME ALA HAZRAT PADHNE KA ANDAZ GHAZAB HE HOTA HAI

    ReplyDelete
  2. Joshe toofan Behr-e-be Payaañ hawaa na saazgaar
    Nooh ke mawla karam kar de to beda paar he

    ReplyDelete
  3. Hadaiqe bakshih dekh kar phir se upload kare isme bohat si galti hai

    ReplyDelete
  4. Muzdabaad aye ashiyon ala hazrat ka kalam haina.. just wanna confirm it

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ji haa bhai ☺.. MAQTE MEIN RAZA LIKHA HAI NAA TOH USSE BHI AAP PATA KAR SAKHTE HO

      Delete
  5. There is need to correction, Bostan , Boostan - fool , phool , - mai , main - vaminkaar , waaminqaar

    ReplyDelete
  6. Mashaa allah

    ReplyDelete

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Husain Tumko Zamaana Salaam kehta hai Lyrics / हुसैन तुमको ज़माना सलाम कहता है / حسین! تم کو زمانہ سلام کہتا ہے

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye sare ghulaam Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی

Mera Badshah Husain hai Lyrics / मेरा बादशाह हुसैन है / میرا بادشاہ حسین ہے

Karbala ke Jaan Nisaron ko salam Lyrics / कर्बला के जाननिसारों को सलाम / کربلا کے جان نثاروں کو سلام

Mere Husain Tujhe Salaam Lyrics / मेरे हुसैन तुझे सलाम / میرے حسین تجھے سلام

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Hum Husain wale hein Lyrics / हम हुसैन वाले हैं / ہم حسین والے ہیں