rukh din hai ya mehr-e-samaa ye bhi nahin wo bhi nahin - English rukh din hai ya mehr-e-samaa ye bhi nahin wo bhi nahin shab zulf ya mushk-e-khuta ye bhi nahin wo bhi nahin mumkin mein ye qudrat kahaan waajib mein abdiyat kahaan hairaan hun ye bhi hai khata ye bhi nahin wo bhi nahin haq ye ki hein abd-e-ilaah aur aalam-e-imkaan e shah barzakh hai wo sirr-e-khuda ye bhi nahin wo bhi nahin bulbul ne gul unko kaha qumri ne sarw-e-jaanfiza hairat ne jhunjhla kar kaha ye bhi nahin wo bhi nahin khursheed tha kis zaur par kya badh ke chamka tha qamar be-parda jab wo rukh hua ye bhi nahin wo bhi nahin dar tha ki isyaan ki saza ab hogi ya roz-e-jaza dee unki rahmat ne sada ye bhi nahin wo bhi nahin koi hai naaz-o-zuhad par ya husne tauba hai sipar yaan hai faqat teri ataa ye bhi nahin wo bhi nahin din lahw mein khona tujhe shab sub'h tak sona tujhe sharm-e-nabi khauf-e-khuda ye bhi nahin wo bhi nahin rizqe-khuda khaya kiy...