tu ne deewana banaya to main deewana bana    ye acchhi parda-daari hai, ye acchhi raaz-daari hai jo aae teri bazm mein deewana ho jaae    tu ne deewana banaya to main deewana bana ab mujhe hosh ki duniya mein tamaasha na bana    tu ne deewana banaya to main deewana bana    main apni aah ke sadqe ke meri aah mein bhi teri nigaah ke andaaz paae jaate hein    tu ne deewana banaya to main deewana bana ab mujhe hosh ki duniya mein tamaasha na bana    yusuf-e-misr tamanna tere jalwon ke nisaar meri bedaariyon ko khwaab-e-zulaikha na bana    tu ne deewana banaya to main deewana bana ab mujhe hosh ki duniya mein tamaasha na bana    teri surat se nahin milti kisi ki surat hum jahaan mein teri tasweer liye firte hein    zauq-e-barbadi-e-dil ko bhi na kar tu barbad dil ki ujdi hui, bigdi hui, duniya na bana    tu ne deewana banaya to main deewana bana ab mujhe hosh ki duniya mein tamaasha na bana    ishq mein deeda-o-dil sheesha-o-paimana bana jhoom kar baith gaye hum wahin maikhana bana    tu...