Roman(Eng) : huzoor ! aap ke dar ka mai.n adna gada hu.n mere dam me.n aaqa ! ye dam aapka hai huzoor ! aap ke tukdo.n par jee raha hu.n mai.n kuchh bhi nahi.n hu.n , karam aap ka hai ye quraan rabb ne jo naazil kiya hai huzoor aap ka hi qaseeda likha hai KHuda keh raha hai habeeb-e-KHuda se ye loh bhi tumhari , qalam aap ka hai huzoor aap ke tukdo.n par jee raha hu.n mai.n kuchh bhi nahi.n hu.n , karam aap ka hai use gardishe.n ab mitaaengi kaise hawaae.n use ab bujaaengi kaise diyaa ban ke jaltaa hai seene me.n har dam mere mustafa ye jo gham aap ka hai huzoor aap ke tukdo.n par jee raha hu.n mai.n kuchh bhi nahi.n hu.n , karam aap ka hai falak kyu.n hai roshan , zaraa ye to socho zamee.n kyu.n hai roshan , zaraa ye to samjo wahaa.n par bhi aaqa ! qadam aap ka hai yahaa.n par bhi aaqa ! qadam aap ka hai huzoor aap ke tukdo.n par jee raha hu.n mai.n kuchh bhi nahi.n hu.n , karam aap ka hai zubaa.n pe ye jis ke , ye har dam sadaa ho madad al-madad , aye rasool-e-KHuda ho wohi...