Maine Rukh Kar Liya Madine Ka Lyrics / मैंने रुख कर लिया मदीने का / میں نے رُخ کر لیا مدینے کا
maine rukh kar liya madine ka maine rukh kar liya madine ka kya bigaade koi safeene ka chashma-e-rehmat paee hai mujh par bhi lutf aayega ab to jeene ka apni ulfat ka jaam do mujhko mast kar do mujhe madine ka jaanib-e-naar main na jaaoonga maine rukh kar liya madine ka aakhri waqt dafn hone ko dedo tukra mujhe madine ka kaise keh-doon ke be sahaara hoon mujh ko aaqa milaa madine ka dedo taiba ki haazri ka sharaf mera maskan banaa madine ka abr-e-rehmat ko ab barasne do daag dhul jaae mere seene ka shakir-e-be nawaa ko bhi aaqa phir se mehmaan banaa madine ka khwaaja-e-khwaajgaan ke sadqe mein main musaafir banaa madine ka ghaus o khwaaja raza o ibn-e-raza naam khuld-e-bareen ke zeene ka ...