Posts

Showing posts with the label kavvali

Qurbaani ka kissa hai Taarikh ka hissa hai Lyrics / क़ुरबानी का किस्सा है, तारीख का हिस्सा है / قربانی کا اسلام میں ہے مرتبہ افضل

qurbaani ka kissa hai taarikh ka hissa hai Naat-Khwaan: Mohammed Aziz allah ki marzi pe jo qurbaan hua hai shaan usko mili saahibe imaan hua hai qurbaani ka kissa hai taarikh ka hissa hai qurbani ka islam mein hai martaba afzal qurbani se ho jaata hai imaan mukammal aadam se maseeha talak aaye jo payambar qurbaniyaan dete rahe sab naame khuda par qurbani ka paygaam jahaan ko diya sab ne ikraar kiya azmate qurbani ka sabne qurbani se pura hua iqraar wafaa ka qurbani se bandon ko mila qurb khuda ka qurbani ko imaan ka juz jaan lo bando tum dil se har ek hukme khuda maan lo bando sar apna jukaate raho paygaame khuda par qurbani dilo jaan se do naame khuda par qurbaani ka kissa hai taarikh ka hissa hai quraan mein hai qurbani ki takmeel ka kissa ke hazrate ibrahimo ismaeel ka kissa the hazrat ibrahim bade saahibe azmat allah ne ata ki ...

Mein jaawaan Madine Lyrics / मैं जावां मदीने / میں جاؤں مدینے

main jaawaan madine Naat-Khwaan: Rahat Fateh Ali Khan uski aankhon mein hashr tak wo nazare honge jisne do pal bhi madine mein guzare honge kaun lejayega sadiq ko jahannum ki taraf jab mere aaqa ki ungli ke ishaare honge main hota te leke durudan de tohfe ae hasrat ai meri main jawaan madine aaqa main tere aa kadman ch baike dukh saare dil de sunawa madine allahumma salliala muhammadin wabarik wa sallim jado shaam paindi jado din ye tanda ae madani de roze da wekhan nazara mera butt te aithe tadapda hi renda te hundiyan ne meriyan migawan madine allahumma salliala muhammadin wabarik wa sallim main kitte gunah jede duniya to chhori kise wi na jaane oh raaz mere digde ne akhiyun nidaamat de aanso main oh raaz kiwe lukawa madine allahumma salliala muhammadin wabarik wa sallim mere lekh chamdad je manzoori howe main roze di jaali nu gal naal lawa rabb menu ...

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں

kyun aake ro rahaa hai muhammad ke shehar mein kyun aake ro rahaa hai muhammad ke shehar mein har dard ki dawaa hai muhammad ke shehar mein aao gunahgaaron chalo sar ke bal chalein tauba ka dar khula hai muhammad ke shehar mein kadmon ne unke khaak ko kundan banaa diya mitti bhi kimiya hai muhammad ke shehar mein sadqa luta rahaa hai khuda unke naam ka sona nikal rahaa hai muhammad ke shehar mein sab to jhuke hein khaana-e-kaaba ke saamne kaaba jhuka hua hai muhammad ke shehar mein saaya nahi hai gumbade khazra ka aaj bhi zinda ye mojzaa hai muhammad ke shehar mein aye raaz tu to hind mein maujood hai magar din raat pad rahaa hai muhammad ke shehar mein Full Lyrics ya nabi aap ke jalwon mein wo raanaaii hai dekhne par bhi meri aankh tamannaii hai haq ta-aala...

Mere Dil mein Ishq-e-Huzoor hai Lyrics / मेरे दिल में इश्क़े हुज़ूर है / میرے دل میں عشقِ حضور ہے

mere dil mein ishq-e-huzoor hai Naat-Khwaan: Rahat Fateh Ali Khan naghma-e-salle ala wirde zubaan rehta hai har gadi samne rahmat ka sama rehta hai jab madine ke dar-o-baam nazar aate hain dil-e-betaab ko phir hosh kahaan rehta hai mere dil mein ishq-e-huzoor hai main jahaan mein sabse ameer hun tujhmein hooro qusoor rehte hain ye bhi maana zaroor rehte hain mere dil ka tawaaf kar jannat mere dil mein huzoor rehte hain dil mein ishq-e-shahe kaunain ki daulat hai badi hun to nadaan main lekin meri qeemat hai badi muje taajdaari se kya garaz main dar-e-nabi ka fakeer hun na to mera koi kamaal hai na dakhal hai ismein ghuroor ka muje rakhte hain wo nigaah mein ye karam hai mere huzoor ka mujh par mere aaqa ka ehsaaan bada hai sarkar ke mangton mein mera naam likha hai muje haq ne bakhshi hai bartari meri thokaron mein sikand...

Al Madad Peerane Peer Gause Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer ! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer ! rutba ye wilaayat me.n , kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyo.n ka , sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par , hasnain ka saaya hai mere gaus ne thokar mei.n , murdo.n ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer ! laakho.n ne usi dar se , taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki , har baat niraali hai doobi hui kashti bhi , dariya se nikaali hai ye naam adab se lo , ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer , ghaus-e-aa'zam dastageer ! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labo.n par tum , fariyaad chale jaao milna hai agar tumko , waliyo.n ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo , baghdaad chale jaao al-madad...

Tajdar e Haram Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

taajdar-e-haram ! ho nigaah-e-karam qismat mein meri chain say jeena likh de Doobe na kabhi mera safeena likh de jannat bhi gawaara hai magar mere liye aye kaatib-e-taqdeer ! madina likh de taajdar-e-haram ! ho nigaah-e-karam hum garibon ke din bhi sanwar jaaenge haami-e-be-kasaa.n !  kya kahega jahaa.n aap ke dar sae khaali agar jaaenge taajdar-e-haram ! taajdar-e-haram ! koi apna nahin gham ke maare hein hum aap ke dar pe fariyaad laaye hein hum aap ka naam le le ke mar jaaenge ho nigaah-e-karam warna chokhat pe hum taajdar-e-haram ! taajdar-e-haram ! kya tumse kahu.n, aye rab ke kanwar tum jaanat ho man ki batiyaa.n daur-e-furqat toh ae ummi laqab kaate na katati ab ratiyaa.n tori preet mein sudh bhud sab bisri kab tak rahegi ye be-khabri daare ba figan budi da nazar kabhi sun bhi to lo humari batiyaan aapke dar se koi na khaali gaya apne daaman ko bhar ke sawaali gaya ho habeeb-e-hazee.n par bhi aaqa nazar warna aah rah ke hasti bikhar jayenge taajdar-e-haram ! taajdar...

Kitna Pyara hai Pyare Muhammad ka naam || कितना प्यारा है प्यारे मुहम्मद का नाम || کتنا پیارا ہے پیارے محمّد نہ نام || Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Roman(Eng):  kitna pyara hai pyare muhammad ka naam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam wo shaah-e-dee.n , wo paygambaro.n ke imaam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam kaun kehta hai wo he.n arab ke liye kamli wale nabi to he.n sab ke liye faiz paate he.n unse sabhi khaas-o-'aam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam wo muhammad bhi, taaha bhi, yaseen bhi rashk-e-imaan bhi, naazish-e-deen bhi jinpe naazil hua hai KHuda ka qalaam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam taajdaar-e-umam, sarwar-e-do jahaa.n sayyad-ul-ambiya shaah-e-kaun-o-makaa.n arsh-e-aa'zam se uncha hai jinka makaam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam jinki taaraeef khud haq ta'aala kare unki tauseef anwar koi kya likhe wo he.n aaqa mere ham he.n unke ghulam unpe lakho.n durood , unpe lakho.n salaam हिंदी(Hindi): कितना प्यारा है प्यारे मुहम्मद का नाम उनपे लाखों दुरूद उनपे लाखों सलाम वो शाह-ए-दीं  , वो पैगम्बरों के इमाम उनपे लाखों दुरूद उनपे लाखों सलाम कौन कहता है वो हैं अरब ...

shah-e-madina shah-e-do 'aalam aye nabiyo.n ke imaam ! || शाह-ए-मदीना शाह-ए-दो-'आलम अये नबियों के इमाम || شاه مدينة شاه ده أعلم اے نبیوں کے امام || Lyrics

Roman(ENG): shah-e-madina ! shah-e-do 'aalam ! aye nabiyo.n ke imaam !  nabi ji ! le-lo hamara salaam ,  nabi ji ! le-lo hamara salaam noor-ul-ala noor ho aaqa ! kehta hai ye quraan 'arsh-e-'ula se farsh pe aake, dikhlai apni shaan tum jo padhaare, chhup gaye saare, but-kade ke asnaam nabi ji ! le-lo hamara salaam ,  nabi ji ! le-lo hamara salaam shah-e-madina ! shah-e-do 'aalam ! aye nabiyo.n ke imaam !  nabi ji ! le-lo hamara salaam ,  nabi ji ! le-lo hamara salaam rutba tumhara aa'la nabi ji ! shaan tumhari niraali dono.n jahaa.n ke shaha bhi tum ho, kaandhe kamaliya kaali rabb ke alaawa koi na jaane, kya hai tumhara makaam nabi ji ! le-lo hamara salaam ,  nabi ji ! le-lo hamara salaam shah-e-madina ! shah-e-do 'aalam ! aye nabiyo.n ke imaam !  nabi ji ! le-lo hamara salaam ,  nabi ji ! le-lo hamara salaam muflis aur majboor ke daata ! be-kas ke tum hi haami rahmat saraapa tum ho nabi ji ! amn ke tum ho payaami shaah-o-gadaa sab ban ke khade...

Teri Rehmato ka Dariya sare aam chal raha hai Lyrics || तेरी रहमतों का दरिया सरे आम चल रहा है

Roman(Eng) : Teri Rehmato ka Dariya sare aam chal raha hai Muje bhikh mil rahi hai Mera Kaam chal raha hai Mere Dil ki Dhadkanon mein Tere Naam se hai ronak Usi Naam ki badolat Mera Naam chal raha hai Ye Karam hai khaas Tera ke Safina Zindagi ka Abhi sub-ha chal raha hai Abhi shaam chal raha hai Sare Arsh Naam Tera, Sare Arsh baat Teri Kahin baat chal rahi hai, Kahin Naam chal raha hai Use maanti hai Duniya, Use dhundhti hai manzil Rahe Ishke Mustafa pe ,Jo Gulaam chal raha hai Mere Damane Gadaaee mein hai bhikh Mustafa ki Isi bhikh par to KASIM  Mera kaam chal raha hai हिंदी (Hindi) : तेरी रहमतों का दरिया सरे आम चल रहा है मुझे भीख मिल रही है , मेरा काम चल रहा है मेरे दिल की धड़कनों में तेरे नाम से है रौनक उसी नाम की बदौलत मेरा नाम चल रहा है ये करम है ख़ास तेरा के सफीना ज़िन्दगी का अभी सुबह चल रहा है अभी शाम चल रहा है सरे अर्श नाम तेरा सरे अर्श बात तेरी कहीं बात चल रही है कहीं नाम चल रहा है उसे मानती है दुनिया उसे ढूंढती है मंज़िल राहे इश्क़े मुस्तफा पे जो गुलाम चल ...

Apne Maa Baap ka Tu Dil na dukha Kawwali Lyrics

Roman (English) : Apne Maa Baap ka Tu Dil na dukha Dil na dukha Apni Jannat ko Khuda ke liye Dozakh na bana Apne Maa Baap ka Tu Dil na dukha Dil na dukha Mere Malik Mere Aaqa Mere Maula ne kaha Apne Maa Baap ka Tu Dil na dukha Dil na dukha Baap ke pyar se acchhi koi Daulat Kya hai Maa ka aanchal jo salamat hai to Jannat kya hai Ye hein raazi to Nabi raazi hein raazi hai Khuda Apne Maa Baap ka Tu Dil na dukha dil na dukha Jab bhi dekha to Tuje Pyar se dekha Maa ne Khoone Dil dudh ki surat mein Pilaya Maa ne Tune Is Pyar ke badle mein Use Kuchh na diya Apne Maa Baap ka Tu Dil na dukha Dil na dukha Unki Mamta ne bahar haal sambhala Tujko Is kadar Pyar se Maa Baap ne paala Tujko Rehmate baala se kuchh kam nahi saaya Unka Apne Maa Baap ka Tu Dil na dukha Dil na dukha Tere Maa Baap ne kis pyar se paala Tujko Khud rahe bhukhe diya muh ka niwala Tujko Inki mutthi mein hai nadaan Mukaddar Tera Apne Maa Baap ka Tu Dil na dukha Dil na dukha Tere bete bhi Kama ...

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Al Madad Peerane Peer Gause Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics