kare chara sazi, ziyarat kisi ki - English Naat-Khawan: Owais Raza Qadri Author: Hasan Raza Khan kare chara sazi, ziyarat kisi ki bhare zakhm dil, ke malahat kisi ki chamak kar ye kehti hai, tal'at kisi ki ke deedar-e-haq hai ziyarat kisi ki na rehti jo pardon mein, surat kisi ki kisi ko na hoti, ziyarat kisi ki kisi ko kisi se hui hai na hogi khuda ko hai jitni mohabbat kisi ki dam-e-hashr aasee maze le rahe hein shafa'at kisi ki hai, rahmat kisi ki rahe dil kisi ki mohabbat mein har dam rahe di mein mohabbat kisi ki khuda ka diya hai tere paas sab kuchh tere hote kya hamko haajat kisi ki na pahunche jahaan aql-e-kul ke farishte khuda jaanta hai haqeeqat kisi ki hamin hein kisi ki shafa'at ki khaatir hamari hi khaatir shafa'at kisi ki na pahunchenge jab tak gunahgaar unke na jaaegi jannat mein ummat kisi ki bhare jaaeinge khuld mein ahl-e-isyaan na jaaegi khaali shafa'at kisi ki wo hi sab ke maalik, unhin ka hai sab kuchh na aasee kisi ke na ja...