Roman(ENG): aye deen-e-haq ke rahbar ! tum par salaam har dam mere shafee'-e-mahshar ! tum par salaam har dam is be-kas-o-khazee par, jo kuchh guzar rahi hai zaahir hai sab wo tum par, tum par salaam har dam banda tumhaare dar ka, aafat me.n mubtala hai raham aye habeeb-e-daawar ! tum par salaam har dam lillah ! ab hamaari, fariyaad ko pahunchiye be-had hai haal abtar , tum par salaam har dam koi nahi.n hai mera, mai.n kis se daad chahu.n sultaan-e-banda-parwar, tum par salaam har dam bulwa ke apne dar par, ab mujko dijiye 'izzat firta hu.n khaar dar-dar, tum par salaam har dam mohtaaj se tumhaare, karte he.n sab kinaara bas ek tumhi ho yaawar, tum par salaam har dam koi nahi.n hamaara, hum kiske dar pe jaae.n aye be-kaso.n ke yaawar ! tum par salaam har dam apne gada-e-dar ki, lijiye khabar khudaara ! kijiye karam hasan par, tum par salaam har dam हिंदी (HINDI): अये दीन-ए-हक़ के रहबर ! तुम पर सलाम हर दम मेरे शफी'-ए-महशर ! तुम पर सलाम हर दम इस बे-कस-ओ-ख़ज़ी...