rukh se parda ab apne utha do - English rukh se parda ab apne utha do jaaliyon par nigaahein jami hein apna jalwa isi mein dikhaado jaaliyon par nigaahein jami hein faaslon ko khudaara mita do jaaliyon par nigaahein jami hein apna jalwa isi mein dikhaado jaaliyon par nigaahein jami hein ghaus-ul-aa'zam ho ghaus-ul-wara ho noor ho noor-e-sall-e-'ala ho kya bayaan aap ka martaba ho dastagir aur mushkil kusha ho aaj deedaar apna karaalo jaaliyon par nigaahein jami hein sun rahe hein wo fariyaad meri khaak hogi na barbaad meri main kahin bhi marun shah-e-jeelaan rooh pahunchegi baghdaad meri mujhko parwaaz ke par laga do jaaliyon par nigaahein jami hein wajd mein aayega saara 'aalam jab pukaarenge ya ghaus-e-aa'zam wo nikal aaenge jaaliyon se aur qadmon mein gir jaaenge hum phir kahenge ke bigdi bana do jaaliyon par nigaahein jami hein fikr dekho, khayalat dekho ye aqidat, ye jazbaat dekho main hun kya meri aukaat dekho saamne kaisi hai zaa...