Marhaba Aye Jaane Jaana'n Lyrics || Owais Raza Qadri


Marhaba... Marhaba... Marhaba... Marhaba...

Ya Nabi Shamsodduha Ya Nabi Badrudduja
Ya Nabi Khairul Wara Ya Nabi... Nabi...

Marhaba Aye Jaane Jaana'n , Jaane Imaa'n Ya Nabi
Marhaba Mehboobe Yazda'n , Shahe Khooban Ya Nabi

Aap Aaye Roshni Faili Andhera Chhat gaya
Marhaba Sad Marhaba Aye Mehre Tabaa'n Ya Nabi

Marhaba... Marhaba... Marhaba... Marhaba...

Marhaba Aye Jaane Jaana'n , Jaane Imaa'n Ya Nabi





Awwalo Aakhir Sab Kuchh Jaane Dekhe Baeedo Kareeb
Ghaib ki Khabrein dene Wala , Allah ka Wo Habeeb

Pyari Surat Hasta Chehra Munh se Jadhte Phool
Husn Sarapa Noor ka Paykar Haq ka Pyara Rasool

Ya Nabi Shamsodduha Ya Nabi Badrudduja
Ya Nabi Khairul Wara Ya Nabi... Nabi...

 Ya Nabi...Ya Nabi...Ya Nabi...Ya Nabi...

Behro Bar, Shamso Kamar, Hooro Malak, Jinno Bashar,
Do Jaha'n hein Aap hi ke Zere Ahesa'n Ya Nabi

Marhaba Aye Jaane Jaana'n , Jaane Imaa'n Ya Nabi

Aapki Aamad ka Sadka Donon Aalam pa gaye
Ham Gadaon ka bhi bharde Aaj Dama'n Ya Nabi

Marhaba... Marhaba... Marhaba... Marhaba...

Marhaba Aye Jaane Jaana'n , Jaane Imaa'n Ya Nabi

Sarkar Jeya Sohna Aaya Aye na Aana Aye
Na Rabb ne banaya Aye na Rabb ne banana Aye

Wekhon te Har Ek Sheh te Pahe Noor Barasdan Aye
Lagda Aye hune Aethe Sarkar ne Aana Aye

Ya Nabi Shamsodduha Ya Nabi Badrudduja
Ya Nabi Khairul Wara Ya Nabi... Nabi...

Ya Nabi...Ya Nabi...Ya Nabi...Ya Nabi...

Ho Hamari Qabr Roshan Ham Shabe Milad mein
Aapki Ulfat mein Karte hein Charaga'n Ya Nabi

Marhaba... Marhaba... Marhaba... Marhaba...

Marhaba Aye Jaane Jaana'n , Jaane Imaa'n Ya Nabi

Naseeb Chamke hein Farshiyon ke
Ke Arsh ke Chand Aa rahe hein
Jalak se Jinki Falak hai Roshan
Wo Shams Tashreef la rahe hein

Nisar Teri Chahel Pahel par
Hazaron Eidein Rabiul Awwal
Siway Iblis ke Jahan mein
Sabhi to Khushiyan Mana rahe hein

Ya Nabi Shamsodduha Ya Nabi Badrudduja
Ya Nabi Khairul Wara Ya Nabi... Nabi...

Ya Nabi...Ya Nabi...Ya Nabi...Ya Nabi...

Log kehte hein Ubaide Qadri ko Naat Khwan
Aap bhi keh dein Ise Apna Sana Khwan Ya Nabi

Marhaba Aye Jaane Jaana'n , Jaane Imaa'n Ya Nabi

Marhaba... Marhaba... Marhaba... Marhaba...

Marhaba Aye Jaane Jaana'n , Jaane Imaa'n Ya Nabi

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aa gaya Ramzan hai Kalam lyrics by Bilal Qadri in English ~ Hindi

Aye Shahenshahe Madina Assalat-o-Wassalam || अये शहंशाहे मदीना अस्सलातु वस्सलाम || اے شہنشاہِ مدینہ ! اَصَّلَاتُ وَ اسّلَامْ