Dare Nabi par Ye Umar beete Lyrics || Nisar Ahmed Marfani


Dare Nabi par Ye Umar beete
Ho Ham pe Lutfe Tamam Aesa
Madine wale kahein Makami
Ho Unke Dar par Qayam Aesa

Labon pe Naame Nabi Jab Aaya
Gurez-paa Hadson ko paya
Jo taal deta hai Mushkilon ko
Mere Nabi ka hai Naam Aesa

Dare Nabi par...

Jo Gamzadon ko Gale laga le
Buron ko Daman mein jo chhupa le
Hai Dusra Kaun Is Jahan mein
Siway Khairul Aman Aesa

Dare Nabi par...

Mujhi ko dekho Wo betalab hi 
Nawazte jaa rahe hein Payham
Na Koi Mera Amal hai Aesa
Na Koi Mera hai Kaam Aesa

Dare Nabi par...

Bilal tuj par Nisar Jaun
Ke khud Nabi ne Tuje kharida
Naseeb ho to Naseeb Aesa
Gulam ho to Gulam Aesa

Dare Nabi par...

Namaz Aqsa mein Jab padhaee
To Ambiya Aur Rusool ye bole
Namaz ho to Namaz Aesi
Imam ho to Imam Aesa

Dare Nabi par...

Mein Khalid Apne Nabi pe Qurban
Hai Jinka Khulke Azeem Quran
Hai Roshni Jiski Do Jahan mein
Kahin hai Maahe Tamam Aesa

Dare Nabi par Ye Umar beete
Ho Ham pe Lutfe Tamam Aesa
Madine wale kahein Makami
Ho Unke Dar par Qayam Aesa

Comments

  1. Does this naat contain musical instruments?

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. Beautiful naat mashallah

    ReplyDelete
  4. Kabhi to kismat khulegi meri kabhi to mera salam hoga 😍

    ReplyDelete

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

Hum Apne Nabi Pak se yun Pyar karenge Lyrics / हम अपने नबी पाक से यूँ प्यार करेंगे

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya Lyrics / गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया

Dekhte kya ho Ahle Safa Lyrics / देखते क्या हो अहले सफ़ा / دیکھتے کیا ہو اہلِ صفا