Posts

Showing posts from January, 2018

Mere Maula Teri baat hi aur hai Lyrics || Rizwan Khan

Donon Aalam ka Malik hai Tu Aye Khuda Mere Maula ! Teri baat hi Aur hai Hamd Teri kare Koi Insan kya Mere Maula ! Teri baat hi aur hai Rubaru Sabke maujud hai Tu Magar Dekh sakti nahin Tujko Koi nazar Sab mein rehta hai lekin hai Sabse juda Mere Maula Teri baat hi aur hai Tod kar rakh diya Khwab Shaddad ka Gark Firon ko Neel mein kar diya Sarkashi Jisne ki Tune di hai saza Mere Maula Teri baat hi aur hai Nooh ki Naaw Tufan se Paar ki Naar Namrud ki Tune Gulzar ki Shikme Maahi mein Yunus ko dedi Giza Mere Maula Teri baat hi aur hai Jab hai anjam Duniya ka Peshe Nazar Kyun talab Tujse Gohar kare Maalo Zar Hath khali Jahan se Sikander gaya Mere Maula Teri baat hi aur hai

Aisa Lagta hai Madine Jald Wo bulwayeinge Lyrics

Aisa Lagta hai Madine Jald Wo bulwayeinge Jayeinge Jakar Unhe Zakhme Jigar Dikhlayeinge Wo Agar Chaheinge to Aesi nazar Farmayeinge Khub royeinge pachhadon par pachhade khayeinge Maut ab to Gumbade Khazra ke saye mein mile Kab tak Aaqa Darbadar ki thokarein Ham khayeinge Aye Khusha Takdeer se gar Hamko Manzuri mili Rakh ke Sar Dehliz par Sarkar ki mar jayeinge Khuld mein hoga Hamara Dakhila Is Shan se Ya Rasulallah ka Naara lagate jayeinge Hashr mein Kaise Sambhalunga Mein Apne Aapko Aa Mere Attar !  Aa Wo Jab Wahan Farmayeinge

Jab Zuban par Muhammad ka Naam aa gaya Lyrics

Naam aa gaya Naam aa gaya Naam aa gaya Jab Zuban par Muhammad ka Naam aa gaya Aasman se Duroodo Salam aa gaya Salam aa gaya Jab Zuban par Muhammad ka Naam aa gaya Jab Mein jaun Madine hai Hasrat Meri Sab kahein Aaqa Tera Gulam aa gaya Jab Zuban par Muhammad ka Naam aa gaya Naat Meine padhi Shahe Kaunain ki Mere Allah ka Mujpe Inaam aa gaya Inaam aa gaya  Jab Zuban par Muhammad ka Naam aa gaya Jab Mein Jaoon Lahad mein Farishte kahein Zikre Panjtan hai Jo Tere Kaam aa gaya Kaam aa gaya Jab Zuban par Muhammad ka Naam aa gaya Aaj Afzal ko hai Ziyarat huyi Samne Ambiya ka Imam aa gaya Imam aa gaya Jab Zuban par Muhammad ka Naam aa gaya

Allah hi Allah kiya karo Dukh na kisi ko diya karo Lyrics

Allah hi Allah ,  Allah hi Allah Allah hi Allah ,  Allah hi Allah Allah hi Allah kiya karo Dukh na kisi ko diya karo Jo Duniya ka Malik hai Naam Usi ka liya karo Allah hi Allah ,  Allah hi Allah Allah hi Allah ,  Allah hi Allah Kab Chehre pe jhut saja ke Mit'ti hai Sacchai Jhute ko Duniya mein hamesha Milti hai Ruswaee Sach ki rah pe chala karo Dukh na kisi ko diya karo Jo Duniya ka Malik hai Naam Usi ka liya karo Allah hi Allah ,  Allah hi Allah Allah hi Allah ,  Allah hi Allah Shisha toot ke jhud sakta hai Dil na jhude gar toote Kitna hai Bedard Wo Insan Pyar ka Ghar Jo loote Aesa Jurm na kiya karo Dukh na Kisi ko diya karo Jo Duniya ka Malik hai Naam Usi ka liya karo Allah hi Allah ,  Allah hi Allah Allah hi Allah ,  Allah hi Allah Khudgarzi ki Is Duniya mein Pyar se Jina sikho Yun Logon ka Dil na dukhao Rabb se darna sikho Sab se Mahobbat kiya karo Dukh na kisi ko diya karo Jo Duniya ka Malik hai Naam Usi ka liy...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Kaba Dikha de Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Labbayk Allahumma Labbayk Nasheed Lyrics / लब्बैक अल्लाहुम्मा लब्बैक / لبّیک اللّٰھم لبّیک / Lyrics

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Taiba ke Jane wale ja kar bade adab se Lyrics / तैबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से / طیبہ کے جانے والے جا کر بڑے ادب سے

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर