Mera Nabi Mera Imaan hai Lyrics || मेरा नबी मेरा ईमान है || Hafiz Tahir Qadri



Roman(ENG):


Baccha bhi bole Nabi Nabi
Budha bhi bole Nabi Nabi
Taaqat hi Taaqat Nabi Nabi
Quwwat hi Quwwat Nabi Nabi

Maidaan Badar Aur Khandak mein
Gazwaa-e-Ohod ke Lashkar mein
Ye Saare Sahaaba kehte the
Jeene ka Sahaar Nabi Nabi

Mein Mar jaun to Nabi Nabi
Mere Kafan pe likhna Nabi Nabi
Meri Qabar pe likhna Nabi Nabi
Mehshar mein bolun Nabi Nabi
Ho Meri Shafaa-at Nabi Nabi

Mizaane Amal pe Nabi Nabi
Jab Pul se guzrun Nabi Nabi
To Paar Laga de Nabi Nabi
Fir Jhoom ke bolun Nabi Nabi
Jannat mein chillaun Nabi Nabi

Mustafa ki sab se unchi shaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mere Siddiko Umar Usmaan Ali
Chaaron hi Haq par hein Yaarane Nabi
Chaar Yaaron ka yahi Naara raha
Mera to sab kuchh hai bas Mera Nabi

Har Sahabi ka yahi Aelan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mustafa ki Aankh ka Taara Ali
Jaanon Dil se hai Hamein Pyaara Ali
Ahle Haq ki Mehfilon mein aaj bhi
Gunjta hai Har Taraf Naara Ali

Murtaza to Mustafa ki Jaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mustafa ki sab se unchi shaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Aankh se Ashke Wafa behte rahe
Zalimon ke Zulm bhi sehte rahe
Mustafa ke Ishq mein Hazrat Bilaal
Ya Nabi Ya Mustafa kehte rahe

Ye Bilaali Ishq ka Farmaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Allah ka Pyaara Nabi Nabi
Kaabe ka Kaaba Nabi Nabi
Mera Ek hi Naara Nabi Nabi
Mera Lahu Pukaara Nabi Nabi

Siddike Akbar ne Bola
Farooke Aazam ka Naara
Usmaane Gani Haidar Maula
Sab ne hi pukaara Nabi Nabi

Zahra ke Baba Nabi Nabi
Hasnain ke Nana Nabi Nabi
Karbal ki Zameen par
Akbar ki Sada thi Nabi Nabi

Ishk yun Apna liya Siddik ne
Mustafa ko paa liya Siddik ne
Aanch na aaye Nabi par Is liye
Saanp se daswa liya Siddik ne

Aashike Saadik ki ye pehchaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mustafa ki sab se unchi shaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Khwaabe Aasare Taraah ki Todiye
Chaand per Jaane ki Baatein chhodiye
Chaand Jinke Ek Ishaare par chale
Us Nabi se Apna Rishta Jodiye

Chaand bhi Is Chaand par Qurbaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Peere Kamil Murshidi Attar ne
Daawate Islami ka Tohfa diya
Peere Kamil Mera Murshid
Madani Chainal dekhte hi dekhte
Ghar ka Ghar sara Namaazi ban gaya

Aaqa ki Sunnat ka Faizaan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Mustafa ki sab se unchi shan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Maa ne Bachpan mein Hamein sikhla diya
Aaqa ki Sunnat kabhi na chhodna
Koi Gham ho kaise bhi haalaat hon
Baarwi o Gyaarwi na chhodna

Inke Sadqe Zindagi aasan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai

Ho Sadaaqat ka hunar guftaar mein
Roshni Paida karo kirdaar mein
Ho chamak Imaan mein Kaatib wahi
Jo chamak thi Haidari Talwaar mein

Mustafaee ki yahi pehchan hai
Mera Nabi Mera Imaan hai





हिंदी (HINDI):


बच्चा भी बोले नबी नबी
बूढ़ा भी बोले नबी नबी
ताक़त ही ताक़त नबी नबी
क़ुव्वत ही क़ुव्वत नबी नबी

मैदान बदर और खंदक में
गज़वा-इ-ओहद के लश्कर में
ये सारे सहाबा कहते थे
जीने का सहारा नबी नबी

में मर जाऊं तो नबी नबी
मेरे कफ़न पे लिखना नबी नबी
मेरी क़बर पे लिखना नबी नबी
महशर में बोलूं नबी नबी
हो मेरी शफ़ाअत नबी नबी

मीज़ाने अमल पे नबी नबी
जब पुल से गुज़रूँ नबी नबी
तो पार लगा दे नबी नबी
फिर ज़ूम के बोलूं नबी नबी
जन्नत में चिल्लाऊं नबी नबी

मुस्तफा की सबसे ऊँची शान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

मेरे सिद्दीको उम्र उस्मान अली
चारों ही हक़ पर हैं याराने नबी
चार यारों का यही नारा रहा
मेरा तो सब कुछ है बस मेरा नबी

हर सहाबी का यही ऐलान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

मुस्तफा की आँख का तारा अली
जानों दिल से है हमें प्यारा अली
अहले हक़ की महफिलों में आज भी
गूंजता है हर तरफ नारा अली

मुर्तज़ा तो मुस्तफा की जान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

मुस्तफा की सबसे ऊँची शान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

आँख से अश्के वफ़ा बहते रहे
ज़ालिमों का ज़ुल्म भी सहते रहे
मुस्तफा के इश्क़ में हज़रात बिलाल
या नबी या मुस्तफा कहते रहे

ये बिलाली इश्क़ का फरमान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

अल्लाह का प्यारा नबी नबी
काबे का काबा नबी नबी
मेरा एक ही नारा नबी नबी
मेरा लहू पुकारा नबी नबी

सिद्दीकी अकबर ने बोलै
फ़ारूक़े आज़म का नारा
उस्माने गनी हैदर मौला
सब ने ही पुकारा नबी नबी

ज़हरा का बाबा नबी नबी
हसनैन के नाना नबी नबी
करबल की ज़मीं पर
अकबर की सदा थी नबी नबी

इश्क़ यूँ अपना लिया सिद्दीक़ ने
मुस्तफा को पा लिया सिद्दीक़ ने
आंच न आये नबी पर इस लिए
सांप से डसवा लिया सिद्दीक़ ने

आशिक़े सादिक़ की ये पहचान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

मुस्तफा की सबसे ऊँची शान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

ख्वाबे आसारे तरह की तोड़िये
चाँद पर जाने की बातें छोड़िये
चाँद जिनके एक इशारे पर चले
उस नबी से अपना रिश्ता जोड़िये

चाँद भी इस चाँद पर क़ुर्बान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

पीरे कामिल मुर्शिदी अत्तार ने
दावते इस्लामी का तोहफा दिया
पीरे कामिल मेरा मुर्शिद
मदनी चैनल देखते ही देखते
घर का घर सारा नमाज़ी बन गया

आक़ा की सुन्नत का फैज़ान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

मुस्तफा की सबसे ऊँची शान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

माँ ने बचपन में हमें सिखला दिया
आक़ा की सुन्नत कभी न छोड़ना
कोई ग़म हो कैसे भी हालात हों
बारवी ओ ग्यारवी न छोड़ना

इनके सड़के ज़िन्दगी आसान है
मेरा नबी मेरा ईमान है

हो सदाक़त का हुनर गुफ़्तार में
रौशनी पैदा करो किरदार में
हो चमक ईमान में कातिब वही
जो चमक थी हैदरी तलवार में

मुस्तफ़ाई की यही पहचान है
मेरा नबी मेरा ईमान है




Naat Khwan :
Hafiz Tahir Qadri
Click Here to view all naats of Hafiz Tahir Qadri
mera nabi mera iman hai lyrics, mera nabi mera iman hai naat lyrics, mustafa ki sabse unchi shaan hai lyrics, mera nabi mera iman hai lyrics in urdu, mera nabi mera iman hai, hafiz tahir qadri mera nabi mera eman, mera nabi mera iman hai naat mp3 download, mustafa ki sabse unchi shaan hai mera nabi mera iman hai, mustafa ki sabse unchi shaan hai hindi mera iman hai

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasulallah Lyrics || Hafiz Tahir Qadri || Roman(ENG) and हिंदी (HINDI)

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics || Gulam Mustafa Qadri || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI)

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Peshe Haq Muzda Shafaat ka Sunate Jaaeinge Lyrics || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)

Sohna Aaya Te saj gaye ne galiyaan bazaar || सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार Lyrics || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI):

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu