Durud padte huye jab bhi Ibtida ki hai Lyrics || Hafiz Ahmed Raza

Allahumma Salli Ala Muhammadin
Wa'ala Aalihi Wa Sahbihi Wa Sallim

Durud padte huye jab bhi Ibtida ki hai
Nawazishon ki Mere Rabb ne Intiha ki hai

Durud padte huye jab bhi Ibtida ki hai

Ye Aaftab , Ye Mahtab , Kehkasha , Anjum
Jo Roshni hai Jahan mein Wo Mustafa ki hai

Durud padte huye jab bhi Ibtida ki hai

Mein Ummati hum Muhammad ka fakhr hai Mujko
Khuda ne Aesi Sa'adat Muje ata ki hai

Durud padte huye jab bhi Ibtida ki hai




Bana ke Uswa-e-Hasna ko behtarin misal
Nabi ke Chehre ki Tosif Wadduha ki hai

Durud padte huye jab bhi Ibtida ki hai

Huzur ab to Karam ki Nigah ho jaye
Jo Hazri ke liye Dil se Iltija ki hai

Durud padte huye jab bhi Ibtida ki hai

Mein Unki Zaate Girami pe Kyun na jaun Nisar
Wo Jis ne Mere Har Ek Dard ki Dawa ki hai

Durud padte huye jab bhi Ibtida ki hai

Allahumma Salli Ala Muhammadin
Wa'ala Aalihi Wa Sahbihi Wa Sallim

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kaaba Dikhade Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला