Mein Aaqa ki Mehfil sajata rahunga Lyrics || Rahat Fateh Ali Khan


Aankhon mein Ashkon ke nazrane le kar
Mein Aaqa ki Mehfil sajata rahunga

Shamso-Dduha Nabi
Badrud-Duja Nabi
Khairul-Wara Nabi
Noorul-Huda Nabi

Aankhon mein Ashkon ke nazrane le kar
Mein Aaqa ki Mehfil sajata rahunga
Khuda Mujko dega Deta rahega
Mein Sadqa Muhammad ka khata rahunga

Aankhon mein Ashkon ke nazrane le kar
Mein Aaqa ki Mehfil sajata rahunga






Salle-Ala Nabiyena Salle-Ala Muhammadin
Salle-Ala Nabiyena Salle-Ala Muhammadin

Bulaunga Sare Diwane Nabi ke
Sajaunga Mein Apne chhote se Ghar ko
Jab tak hai Meri ye Sanson ka bandhan
Milade Nabi mein manata rahunga

Aankhon mein Ashkon ke nazrane le kar
Mein Aaqa ki Mehfil sajata rahunga

Shamso-Dduha Nabi
Badrud-Duja Nabi
Khairul-Wara Nabi
Noorul-Huda Nabi

Mein Mustafa ke hun Mukhde ka Aashik
Zamane ki Nazrein Muje kya lagegi
Mujpe Karam hai ye Mere Nabi ka
Mein Izzat Zamane mein pata rahunga

Aankhon mein Ashkon ke nazrane le kar
Mein Aaqa ki Mehfil sajata rahunga

Salle-Ala Nabiyena Salle-Ala Muhammadin
Salle-Ala Nabiyena Salle-Ala Muhammadin

Ishke Nabi mein akeeda hai Mera
Marke bhi Roshan rahengi ye Aankhein
Aaqa Tere Naam ko chum kar Mein
Palkon pe Apni lagata rahunga

Aankhon mein Ashkon ke nazrane le kar
Mein Aaqa ki Mehfil sajata rahunga

Shamso-Dduha Nabi
Badrud-Duja Nabi
Khairul-Wara Nabi
Noorul-Huda Nabi

Mein Aaqa ka Mangta Mein Aaqa ka Aashik
Mein Aaqa ka Rahat Mein Aaqa ka Sadik
Mein Aaqa ke Dar ka Gada banke Sabko
Aaqa ki Naatein sunata rahunga

Aankhon mein Ashkon ke nazrane le kar
Mein Aaqa ki Mehfil sajata rahunga

Comments

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kaaba Dikhade Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला