- Get link
- X
- Other Apps
sar-e-mahfil karam itna meri sarkaar ho jaye
sar-e-mahfil karam itna meri sarkaar ho jaye
nigahein muntazir reh jayein aur didaar ho jaye
tasawwur mein teri har shay pe yun nazrein jamaata hoon
na jaane kaun si shay mein tera didaar ho jaye
ghulaam-e-mustafa ban kar mein bik jaaun madine mein
nabi ke naam par sauda sar-e-bazaar ho jaye
sambhal kar paaon rakhna haajiyon! shehre madina mein
kahin aisa na ho saara safar bekar ho jaye
main ghum itna toh ho jaaun teri zaat-e-aali mein
jo aankhein band ho jayein tera didaar ho jaye
सर-ए-महफ़िल करम इतना मेरी सरकार हो जाए
सर-ए-महफ़िल करम इतना मेरी सरकार हो जाए
निगाहें मुन्तज़िर रह जाएं और दीदार हो जाए
तसव्वुर में तेरी हर शय पे यूँ नज़रें जमाता हूँ
ना जाने कौन सी शय में तेरा दीदार हो जाए
ग़ुलामे मुस्तफ़ा बन कर मैं बिक जाऊं मदीने में
नबी के नाम पर सौदा सारे बाज़ार हो जाए
संभल कर पाँव रखना हाजियों! शहर-ए-मदीना में
कहीं ऐसा ना हो सारा सफर बेकार हो जाए
मैं ग़म इतना तो हो जाऊं तेरी ज़ाते आली में
जो आँखें बंद हो जाएं तेरा दीदार हो जाए
سرِ محفل کرم اتنا میری سرکار ہو جائے
سرِ محفل کرم اتنا میری سرکار ہو جائے
نگاہیں منتظر رہ جائیں اور دیدار ہو جائے
تصور میں تیری ہر شے پہ یوں نظریں جماتا ہوں
نہ جانے کون سی شے میں تیرا دیدار ہو جائے
غلامِ مصطفی بن کر میں بِک جاؤں مدینے میں
نبی کے نام پر سودا سارے بازار ہو جائے
سنبھل کر پاؤں رکھنا حاجیوں! شہرِ مدینہ میں
کہیں ایسا نہ ہو سارا سفر بیکار ہو جائے
میں غم اتنا تو ہو جاؤں تیری ذاتِ عالی میں
جو آنکھیں بند ہو جائیں تیرا دیدار ہو جائے
- Get link
- X
- Other Apps
Comments







.png)


Habeeb is haal se ab ter bhi haal e zaar hojaye,,
ReplyDeleteJo hona ho so ho jaye magar deedar hojaye...
Mashallah
DeleteAgar ana tera is bazum mein ek bar hojaye,
ReplyDeleteTum hare ek nazar tehre humme didar hojaye...
Lepat ker damane Hazrat se mein dum todo apna ,
DeleteAgar jana Madina me mere ek bar hojaye ..
اگر عالَم میں بے پردہ جمالِ یار ہو جائے
ReplyDeleteتو دنیا جان دینے کیلئے تیار ہو جائے
Mo gulzar
ReplyDeleteS
Sar-e-mahfil karam itna mere sarkaar ho jaye
ReplyDeleteNigaheiñ muntazir reh jayeiñ aur didaar ho jaye
Tasawwur meiñ teri har shay pe yuñ nazreiñ jamaata hooñ
Na jaane kaun si shay meiñ tera didaar ho jaye
Ghulaam-e-mustafa ban kar mein bik jaauñ madine meiñ
Muhammad naam par sauda sar-e-baazaar ho jaye
Sambhal kar paaoñ rakhna haajiyonñ shehre madina meiñ
Kahiñ aisa na ho saara safar bekaar ho jaye
Fana itna to ho jauñ meiñ teri zaat-e-aali par
Jo mujhko dekhle usko tera didaar ho jaye
Tujhe manzoor hai parda mujhe paas adab warna
Meiñ jab jauñ jahañ jauñ tera didaar ho jaye
*Habeeb* is haal se abtar bhi haal e zaar ho jaye
Jo hona ho so ho jaye magar didaar ho jaye
Muhammad Habeeb Painter