sar-e-mahfil karam itna meri sarkaar ho jaye sar-e-mahfil karam itna meri sarkaar ho jaye nigahein muntazir reh jayein aur didaar ho jaye tasawwur mein teri har shay pe yun nazrein jamaata hoon na jaane kaun si shay mein tera didaar ho jaye ghulaam-e-mustafa ban kar mein bik jaaun madine mein nabi ke naam par sauda sar-e-bazaar ho jaye sambhal kar paaon rakhna haajiyon! shehre madina mein kahin aisa na ho saara safar bekar ho jaye main ghum itna toh ho jaaun teri zaat-e-aali mein jo aankhein band ho jayein tera didaar ho jaye सर-ए-महफ़िल करम इतना मेरी सरकार हो जाए सर-ए-महफ़िल करम इतना मेरी सरकार हो जाए निगाहें मुन्तज़िर रह जाएं और दीदार हो जाए तसव्वुर में तेरी हर शय पे यूँ नज़रें जमाता हूँ ना जाने कौन सी शय में तेरा दीदार हो जाए ग़ुलामे मुस्तफ़ा बन कर मैं बिक जाऊं मदीने में नबी के नाम पर सौदा सारे बाज़ार हो जाए संभल कर पाँव रखना हाजियों! शहर-ए-मदीना में कहीं ऐसा ना हो सारा सफर बेकार हो जाए मैं ग़म इतना तो हो जाऊं तेरी ज़ाते...