Muradein Mil rahi hein Shadshah Unka Suwali hai Lyrics


Muradein Mil rahi hein Shadshah Unka Suwali hai
Labon par iltija hai hath mein Roze ki jali hai


Teri Surat Teri Sirat Zamane se nirali hai
Teri har har ada pyare daleele bemisali hai

Wo hein Allah wale jo Tuje wali kahein Apna
Ke Tu Allah wala hai Tera Allah wali hai

Sharaf Makke ki basti ko mila Tayba ki basti se
Nabi wali hi ke sadqe mein wo Allah wali hai

Khuda Shahid ke Roze Hashr ka khatka nahin rehta
Muje jab yaad aata hai ke Mera kaun wali hai

Tumhare dar Tumhare aastan se Mein kahan jaaun
Na Mujsa koi bekas hai na Tumsa koi wali hai

Hasan ka dardo dukh mokuf farma kar bahali do
Tumhare hath mein duniya ki mokufi bahali hai


Comments

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics / अलवदा अलवदा माहे रमज़ान / by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا