Marhaba Ya Mustafa Salle Ala Lyrics


Marhaba Ya Mustafa Salle Ala
Marhaba Ya Mustafa Salle Ala


Mhammad Mustafa aaye baharon par bahar aayi
Zamin ko chumne jannat se khushbu bar bar aayi
Wo aaye to Manadi ho gayi Sayim zamane mein
Bahar aayi Bahar aayi Baharon par Bahar aayi

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala
Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

Nasib Chamke hein Farshiyon ke
Ke Arsh ke Chand aa rahe hein
Jalak se jinki Falak hai roshan
Wo Shams tashrif laa rahe hein

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala
Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

Nisar Teri chahel pahel pe
Hazaron Eidein Aye Rabiul Awwal
Siway Iblis ke jahan mein
Sabhi to khushiyan mana rahe hein

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala
Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

Shabe Wiladat mein sab Musalman
Na kyun karein jaano maal qurban
Abu Lahab jaise sakht kafir
Khushi mein jab faiz pa rahe hein

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala
Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

Zamane bhar mein ye qayda hai
Ke jis ka khana usi ka gana
To naimatein jinki kha rahe hein
Unhi ke ham geet ga rahe hein

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala
Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

Mein Tere sadqe zameene Tayba
Fida na kyun Tuj pe ho zamana
Ke jinki khatir bana zamana
Wo Tuj mein aaram pa rahe hein

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala
Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

Jo qabr mein apni unko paaun
Pakad ke daman machal hi jaaun
Jo dil mein reh ke chhupe the mujse
Wo aaj jalwa dikha rahe hein

Marhaba Ya Mustafa Salle Ala
Marhaba Ya Mustafa Salle Ala

Comments

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)