Khub Khushiyan manao Huzur aa gaye Lyrics


Khub Khushiyan manao Huzur aa gaye
Naate Ahmed Sunao Huzur aa gaye

Boli Dayi Halima Unhe dekh kar
Noori Jula Julao Huzur aa gaye


Dushmani chhod do sab Mahobbat karo
Dil se Dil ko milao Huzur aa gaye

Pad ke Kalma ye Kankar bhi kehne lage
Logon Imaan laao Huzur aa gaye

But Shikan aaya But sar ke bal gir gaye
Parchame Haq uthao Huzur aa gaye

Jinke Sajde ko Mehrabe Kaaba juki
Apna Dil Tum jukao Huzur aa gaye

Hai "Laqad Ja Akum" dekho Quran mein
Pad ke sab ko sunao Huzur aa gaye

Yaad Ummat ko Waqte Wiladat kiya
Yaad ab Tum manao Huzur aa gaye

Jum kar khub Rizwan Naatein pado
Sabko Muzda sunao Huzur aa gaye

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Sare Nabiyon ke Ohday bade hein Lyrics / सारे नबियों के ओहदे बड़े हैं

Salare Sahaba Wo Pahla Khalifa Lyrics / सालारे सहाबा वो पहला खलीफा

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Kaaba Dikhade Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں