Kash Mein daur Payambar mein uthaya jata Lyrics


Kash Mein daur Payambar mein uthaya jata
Ba-Khuda qadmon mein Sarkar ke paya jata


Sath Sarkar ke gazwat mein shamil hota
Unki nusrat mein lahu Mera bahaya jata

Ret ke zarron mein Allah badal deta Muje
Aur Muje Rahe Muhammad mein bichhaya jata

Khak ho jata Mein Sarkar ke qadmon ke tale
Khak ko Khake Madina mein milaya jata

Milke sab log Muje matti se gara karte
Fir Muje Masjide Nabwi mein lagaya jata

Kash Aye Kash mein hota koi aesi lakdi
Jisko Sarkar ke mimbar mein lagaya jata

Gas hota Madine ke gali kuchon ki
Aur Sarkar ke nake ko khilaya jata

Unke Roze ke daro-bam sajane ke liye
Rozanon mein Meri aankhon ko lagay jata

Laya jata Sare Darbar aseeron ki tarah
Hukm par unke mein aazad karaya jata

Ya utarta mein kisi Naat ke misre ban kar
Rubaru unke mein unko hi sunaya jata

Hote us daur ka kissa koi Nooro Farhan
Aaj ke daur mein bachon ko padaya jata

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Hum Apne Nabi Pak se yun Pyar karenge Lyrics / हम अपने नबी पाक से यूँ प्यार करेंगे

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya Lyrics / गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया

Dekhte kya ho Ahle Safa Lyrics / देखते क्या हो अहले सफ़ा / دیکھتے کیا ہو اہلِ صفا