Jhoom utha hai sara jahan Milade Nabi hai Lyrics

Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Aaqa ki Aamad Marhaba

Jhoom utha hai sara jahan
Milade Nabi hai
Khushiyon ka chhaya hai sama
Milade Nabi hai


Ghar Aamena ka dulhan bana hai
Manzar nirala aur khushnuma hai
Sajne lage sab Kauno-Makan
Milade Nabi hai

Duniya sari roshan roshan
Khushiyan faili aangan aangan
Tar hai Durudon se har zuban
Milade Nabi hai

Zulm ke badal chhat gaye sare
Aaye hein Aaqa pyare pyare
Charon Taraf hai pyara sama
Milade Nabi hai

Qismat Teri kitni bhali hai
Dayi Halima Ghar se chali hai
Tujpe hua hai Khuda mehrban
Milade Nabi hai

Aao Sukhan bar Eid manayein
Ghar Mehfile Naat sajayein
Aaqa ki mid'hat ka ho bayan
Milade Nabi hai

Ahlanwwa Sahlan Marhaba
Aaqa ki Aamad Marhaba

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Kaba Dikha de Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Kya Bataun ki Kitni hein Khubiyan Madine mein Lyrics - Aaye Jab Mere Aaqa / क्या बताऊँ कि कितनी हैं, खूबियाँ मदीने में

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ