Be-misl hai Konain mein Sarkar ka Chehra Lyrics
Be-misl hai Konain mein Sarkar ka Chehra
Aayina-e-Haq hai Shahe Abrar ka Chehra
Takta rahu Khalik Tere Shahkar ka Chehra
Aye Mutallibi phool Baharon ke Payambar
Khilta hai Tere Naam se Gulzar ka Chehra
Khurshide Halima Teri Mushtaq hein ankhein
Bhata nahin ab Maah ziyawar ka Chehra
Aye Khuld karunga Tera didar bhi lekin
Is dam hai nazar mein Tere Mukhtar ka Chehra
WasShams ki ye wa we kasam kehti hai mud kar
Be-dag raha Shah ke kirdar ka Chehra
Jalwon se ho ma'moor na kyun dil ka Madina
Aankhon mein hai us Matla-e-Anwar ka Chehra
Dorane Shafa'at wo Sukun baksh dilase
Be-fikr nadamat hai gunahgar ka Chehra
Puchha jo ye Saeel ne ke kya chiz hai Ahsan
Siddiq ne barjasta kaha Yaar ka Chehra
Jabke jo Naseer aankh dame naz'ato Ya Rabb
Putli mein fire Ahmade Mukhtar ka Chehra
Comments
Post a Comment