durood lab par, khayal dil mein durood lab par, khayal dil mein aur ashq aankho.n mein aa rahe hein huzoor ke dar pe ja rahe hein, to is karine se ja rahe hein rasool-e-akram zameen-e-rab par, kisi tarha gham nibha rahe hein jahaan-e-taarik mein lahu se, charag-e-ulfat jala rahe hein charag tera hai noor tera, badan bhi tera lahu bhi tera ye sab teri milkiyat hai aaqa ! ke hum to karza chuka rahe hein hum apni nafsaaniyat ke chakkar tumhara haq kya ada karenge bas ek tumhara karam hai aaqa ! ke jis pe taqiya laga rahe hein main dair se aa sakunga aaqa ! gunaah ki gathriyaa.n lagi hein bas teri rahmat ke aasre par qadam qadam badte ja rahe hein janaab-e-aadam bhi keh rahe hein madad kisi aur dar se maango kaleem-o-isa bhi mere aa...