Mein hun Sarkar-e-Madina ka gada Lyrics
Roman(ENG):
Mein hun Sarkar-e-Madina ka gadaJobhi mangu Mujhe Sarkar Ata karte hein
Nisbat-e-Shahe Do Aalan ki qasam
Unke naukar se Farishte bhi haya karte hein
Aaj bhi khaima-e-Aflaq se aati hai sada
Unko Jannat ki basharat dedo
Jo Shahensha-e-Madina ki Sana karte hein
Unke ho jaao to har cheez Tumhari hogi
Saare Aezaaz Fazilat waale
Mere Sarkar ki nisbat se mila karte hein
Kaash wo lamha bhi aa jaaye ke ham sab se kahein
Koo-e-Tayba hai thikana apna
Aaj kal ham bhi Madine mein raha karte hein
Meine dekhi hai fakiron ke nagar ki ronak
Ye hakeekat hai ke Shaher-e-Dil par
Hukmarani to Muhammad ke gada krte hein
Jo bhi manga wo mila unke karam ka sadqa
Zindagi jitni bhi ab baaqi hai
Unke qadmon mein guzar jaaye dua karte hein
Mera Imaan hai Maslaq hai yahi Farooqi
Do jahan unka wafadar hai jo
Sayyada Zahra ke bachon se wafa karte hein
Comments
Post a Comment