Kis ke Jalwe ki jhalak hai ye ujala kya hai Lyrics


Roman(ENG):


Kis ke Jalwe ki Jhalak hai Ye Ujaala kya hai
Har taraf Deeda-e-Hairat zada taktaa kya hai

Maang man maanti munh-maangi muradein lega
Na yahan 'na' hai na mangta se ye kehna 'kya hai'

Paand kadwi lage naseh se tarsh ho Aye nafs
Zahere Isyaan mein Sitam-gar Tuje meetha kya hai

Unki ummat mein banaaya Unhe Rehmat bheja
Yun na farma ke Tera rahem mein daawa kya hai

Ham hein unke wo hein Tere to hue Ham Tere
Is se badh kar Teri simt aur waseela kya hai

Sadqa Pyaare ki haya ka ke na le Mujhse hisaab
Bakhsh be-puchhe lajaaye ko lajaana kya hai

Zahid unka mein gunahgaar Eo mere Shaafe'a
Itni nisbat Mujhe kya kam hai Tu samjaa kya hai

Ba-basi ho jo Muje pursishe Aamal ke waqt
Doston ! Kya kahun us waqt tamannaa kya hai

Kash fariyad Meri sun ke ye farmaein Huzur
Haan koi dekho ye kya shor hai gauga kya hai

Kaun aafat-zada hai kis pe bala tooti hai
Kis musibat mein giraftar hai sadmaa kya hai

Kis se kehta hai ke Lillah khabar lijiye Meri
Kyun hai betaab ye be-chaini ka ronaa kya hai

Is ki be-chaini se hai khatire aqdas pe malaal
Be-kasi kaisi hai puchho koi guzraa kya hai

Yun Malaik karein ma'rooz ke ek mujrim hai
Is se pursish hai bata Tune kiya kya kya hai

Samna kaher ka hai daftare Aamal hein pesh
Dar raha hai ke Khuda hukm sunaata kya hai

Aap se karta hai fariyad ke Ya Shaahe Rusul
Banda be-kas hai Shahaa Rahem mein waqfa kya hai

Ab koi dam mein giraftare balaa hota hun
Aap aa jayein to kya khauf hai khatka kya hai

Sun ke ye arz Meri bahere karam josh mein aaye
Yun malaaik ko ho Irshad thahernaa kya hai

Kis ko Tum moride aafat kiyaa chahate ho
Ham bhi to aake zara dekhein tamaasha kya hai

Unki aawaz pe kar utthun mein be-sakhta shor
Aur tadap kar ye kahun ab Mujhe parwaah kya hai

Lo wo Aaya Mera haami Mera Gamkhware umam
Aa gayi jaan tane be-jaan mein ye aana kya hai

Fir Mujhe Damane Aqdas mein chhupa lein Sarwar
Aur Farmaien hato Is pe takaaza kya hai

Banda Aazad shuda hai ye Hamare Dar ka
Kaisa lete ho hisaab Ispe Tumhara kya hai

Chhod kar Mujko Farishte kahein Mehkum hein Ham
Hukme walaa ki na taameel ho zohra kya hai

Ye samaa(n) dekh ke Maheshar mein utthe shor ke wah !
Chashme Baddur ho kya Shaan hai rutbaa kya hai

Sadqe is Rahem ke is Saya-e-Daman pe nisaar
Apne Bande ko museebat se bachaaya kya hai

Aye Raza Jaane anaadil Tere nagmon ke nisaar
Bulbule Baage Madina Tera kehnaa kya hai

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu