Khuda ka zikr kare zikr-e-Mustafa na kare Lyrics
Khuda ka zikr kare zikr-e-Mustafa na kare
Hamare Munh mein ho aesi Zaban Khuda na kare
Madine jaake nikal aana Shaher se bahar
Khuda na khasta ye zindagi wafa na kare
Nabi ke qadmon mein jis dam gulam ka sar ho
Qaza se kehdo ke ek lamha bhi qaza na kare
Dare Rasool pe aesa kabhi nahin dekha
Koi Sawal kare aur Wo Ata na kare
Kaha Khuda ne Shafa'at ki baat Mehshar mein
Mera Habeeb kare koi dusra na kare
Aseer Jisko bana kar rakhe Madine mein
Tamam Umar rihaee ki wo dua na kare
Shaoor-e-Naat bhi ho aur zaban bhi Adeeb
Wo Aadami nahin jo inka haq ada na kare
Comments
Post a Comment