Mustafa ka khuda aur khud mustafa Lyrics

Mustafa ka khuda aur khud mustafa
Kyun kahun mera koi sahara nahin
Mein madine lekin bahot door hun
Ye khalish mere dil ko gawara nahin
Mustafa ka khuda aur khud mustafa

Aapka ishk hai ishke rabbul ula
Aapka zikr hai khas zikre khuda
Khud khuda ne ye quraan mein aelan kiya
Jo tumhara nahin wo hamara nahin



Isme ahmad ki ta'zim ke munkiron
Iski azmat ko quraan se dekh lo
Be-laqab unka isme mubarak kahin
Unke ma'bood ne bhi pukara nahin

Thokaron ke siwa aur paayega kya
Jiski manzil ka koi na ho rehnuma
Apni manzil pe hargiz na pahunchega wo
Hath mein jiske daman tumhara nahin

Akle jinno bashar ka yahan zikr kya
Sidra wale jahan dango hairan hein
Rif'ate mustafa ki mile had kise
Ye wo dariya hai jiska kinara nahin

Wo hi roze pe bulwayenge ek din
Ae Sikandar zara sabr se kam le
Unke dar ka gada aur mayus ho
Mere sarkar ko ye gawara nahin


Comments

  1. Arham is very good boy in world sorry no in town in people mind but he is bad boy they behave in front of people good but not in home.

    ReplyDelete

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu