Mein to khud unke dar ka gada hun Lyrics

Mein to khud unke dar ka gada hun
Apne aaqa ko mein nazar kya dun
Ab toh aankhon mein bhi kuchh nahin hai
Warna kadmon mein aankhen bichha dun

Be-nigahi pe meri na jayein
Deedawar mere nazdik aayein
Mein yahin se madina dikhadun
Dekhne ka salika sikha dunMein to khud unke dar ka gada hun
Apne aaqa ko mein nazar kya dun

Samne mere aaqa ka dar hai 
Roza e paak peshe nazar hai
Mujko kya kuchh nazar aa raha hai
Tumko lafzon mein keise batadun

Ab toh aankhon mein bhi kuchh nahin hai
Warna kadmon mein aankhen bichha dun

Mere aansun bahot kimati hein
Inse wabasta hein unki yadein
Inki manzil hai khake madina 
Ye gohar yunhi kese luta dun

Mujko Iqbal nisbat hai unse
Jinka har lafz jaane sukhan hai
Mein jahan naat unki suna dun
Sari mehfil ki mehfil jaga dun

Ab toh aankhon mein bhi kuchh nahin hai
Warna kadmon mein aankhen bichha dun

Comments

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)