main to khud unke dar ka gada hun main to khud unke dar ka gada hun apne aaqa ko main nazar kya dun ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai warna kadmon mein aankhen bichha dun be-nigaahi pe meri na jaayein deedawar mere nazdik aayein main yahin se madina dikha dun dekhne ka salika sikha dun main to khud unke dar ka gada hun apne aaqa ko main nazar kya dun samne mere aaqa ka dar hai roza-e-paak peshe nazar hai mujhko kya kuchh nazar aa raha hai tumko lafzon mein kaise bata dun ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai warna kadmon mein aankhen bichha dun mere aansoo bahut qeemati hain inse wabasta hain unki yaadein inki manzil hai khaak-e-madina ye gohar yunhi kaise luta dun mujhko iqbal nisbat hai unse jinka har lafz jaane sukhan hai main jahan naat unki suna dun saari mehfil ki mehfil jaga dun ...