Faisale gumbade khazra ke makee karte hai Lyrics

Wo karam Chaahein Jahan par bhi Wahi karte hein
Faisale Gumbade Khazraa ke Makeen karte hein

Jinpe karte hein Inaamaat ki baarish Aaqa
Unki Qismat Madine ki Zameen karte hein
Faisale Gumbade Khazraa ke Makeen karte hein
Wo karam Chaahein

Aao Bimaron Madine se Shifaaein lelo
Dard ko door Shahe Duniya o Deen karte hein
Faisale Gumbade Khazraa ke Makeen karte hein
Wo karam Chaahein

Yusufe Misr bhi Taleeb hein Usi Jalwe ke
Chaakri Unki Haseenon ke Haseen karte hein
Faisale Gumbade Khazraa ke Makeen karte hein
Wo karam Chaahein

Dekha jab Jalwa-e-Jaanaan to pukari Duniya
Dekh kar Unko Khuda ka bhi yaqeen karte hein
Faisale Gumbade Khazraa ke Makeen karte hein
Wo karam Chaahein

Baabe Jibreel pe pahuncha to Ye jaana Ajmal
Aake Darbani yahan Sidra Nasheen karte hein
Faisale Gumbade Khazraa ke Makeen karte hein
Wo karam Chaahein

Comments

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kaaba Dikhade Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला