Chanda mange hai chandaniya Tayba mai Lyrics


Chham Chham naache hai Pawaniya Tayba mein
Chanda mange hai Chandaniya Tayba mein

Ishqe Khuda aur Ishqe Nabi mein Aesi haalat badli
Saath baras ki Umar mein aese dode jaise bijli
Wapas aagai na jawaniya Tayba mein

Chanda mange hai Chandaniya Tayba mein

Mere Nabi ke charon jaanib noor ka Dariya dole
Tayba jakar aane wala Haji Mujse bole
Rahmat barse jaise paniya Tayba mein

Chanda mange hai Chandaniya Tayba mein

Sub'h savere suraj pahele aqa ke dar jaye
Vaha pe kirne bhik mile to akar jag chamkaye
Chanda mama ki dukaniya Tayba mai
Chanda mange hai chandaniya Tayba mai

Kankar pathar jane vale ful kali ban bethe
Aag ki fitrat rakhne vale mom ki tarha pigle
Kismat banti hai dulhaniya Tayba mai
Chanda mange hai chandaniya Tayba mai

Tune kitna kaam kiya hai is duniya mai reh kar
Sari tankhvah mil jaye gi aaye ga jab mehshar
Jakar lele tu uthaniya Tayba mai
Chanda mange hai chandaniya Tayba mai

Sari umar mai kamse kam ek din to esa aye
Wahid ansari bhi apne aqa ke ghar jaye
Allah nikle mori janiya Tayba mai
Chanda mange hai chandaniya Tayba mai

Comments

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Hum ne Aankhon se dekha nahin hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर