Hale Dil Kisko Sunaye Aap ke hote hue || हाले दिल किसको सुनाएं आप के होते हुए || Lyrics


Roman(Eng) :

Normal:


Haale Dil Kisko Sunaye Aap ke hote hue
Kyun kisi ke Dar pe jaayein Aap ke hote hue

Mein Gulame Mustafa hun Ye Meri Pehchan hai
Gham Muje kyun kar Sataye Aap ke hote hue

Apna jeena Apna marna ab Isi chokhat pe hai
Ham kahan Sarkar jaayein Aap ke hote hue

Keh raha hai Aapka Rabb ANT FIHIM Aap se
Kyun Inhein Mein dun Sazayein Aap ke hote hue

Samne hai Aye Ali ke Laal Uswaa Aapka
Kyun kisi ka khauf khayein Aap ke hote hue

Mein Ye kaise maan jaoon Shaam ke Darbar mein
Chhin le koi Ridayein Aap ke hote hue

Ye to ho sakta nahin Ye baat mumkin hi nahin
Mere ghar aalaam aaein Aap ke hote hue

Kaun hai Altaf apna Haale Dil Jis se kahein
Zakhme Dil kis ko dikhaein Aap ke hote hue



Special:

haal-e-dil kisko sunae.n , aapke hote hue
kyu.n kisi ke dar pe jaae.n , aapke hote hue

me.n Gulaam-e-mustafa hu.n, ye meri pahchaan hai
Gam muje kyu.n kar sataae,  aapke hote hue

apnaa jiinaa apnaa marnaa ab isii chokhat pe hei
hum kahaa.n sarkaar jaae.n aapke hote hue

kah rahaa hai aapkaa rabb ANTA FIHIM aapse
kyu.n inhe.n me.n du.n sazaae.n aapke hote hue

saamne hai aye ali ke laal uswaa aapkaa
kyu.n kisi ka KHauf khaae.n aapke hote hue

mai.n ye kaise maan jaau.n , shaam ke darbaar me.n
chhin le koi ridaae.n aapke hote hue

ye to ho sakta hi nahi.n , ye baat mumkin hi nahi.n
mere ghar aalaam aae.n aapke hote hue

kaun hai Altaaf apnaa, haal-e-dil kisko kahe.n
zaKHm-e-dil kisko dikhaae.n , aapke hote hue





हिंदी(HINDI):


हाले दिल किसको सुनाएं आप के होते हुए
क्यों किसी के दर पे जाएँ आप के होते हुए

में गुलामे मुस्तफा हूँ ये मेरी पहचान है
ग़म मुझे क्यूँ कर सताएं आप के होते हुए

अपना जीना अपना मरना अब इसी चोखट पे है
हम कहाँ सरकार जाएँ आप के होते हुए

कह रहा है आपका रब्ब "अंत-फ़ीहिम" आप से
क्यूँ इन्हेँ में दूँ सज़ाएं आप के होते हुए

सामने है ए अली के लाल उस्वा आपका
क्यों किसी का खौफ खाएं आप के होते हुए

में ये कैसे मान जाऊं शाम के दरबार में
छीन ले कोई रीदाएँ आप के होते हुए

ये तो हो सकता नहीं ये बात मुंकिन ही नहीं
मेरे घर आलाम आए आप के होते हुए

कौन है अल्ताफ अपना हाले दिल जिस से कहें
ज़ख्मे दिल किस को दिखाएँ आप के होते हुए


Comments

  1. its "ANTA FIHIM" not ANT FIHIN in the 7th line

    ReplyDelete
    Replies
    1. what's mean in urdu anta fihim

      Delete
    2. ANTA FEEHIM means you are among them or you are in between them

      Delete
  2. Beautiful Naat written by Syed Altaf Hussain Kazmi who is Naat Khawan himself

    ReplyDelete
  3. Subhanallah
    https://youtu.be/f8FzHfX-cts

    ReplyDelete
  4. Mein Ye kaise maan jaoon Sham ke Darbar mein
    Chhin le koi Ridayen Aap ke hote hue

    what is the meaning of above lines. can anyone please reply.

    ReplyDelete
    Replies
    1. How can I believe in the marketplace of Syria,
      A woman's headscarf can be snatched (removed from.her head) whilst you're present Ya Rasul Allāh, sallala ho alaihi was sallam.

      Delete
  5. Samne hai Aye Ali ke Laal Usvaa Apka
    Meaning of this please

    ReplyDelete
    Replies
    1. Referring to Imam Hussain Radi Allāh T'Allāh an.
      Infront of us Ali Karam Allāh Tallāh wajh ul Kareem is your sons whole life story.
      Battle of karbala and the sacrificed made for Islam.
      What do we have to fear after what you went through then continues with Ap kay hotay hoay.

      Delete

Post a Comment

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer / अल-मदद पीरान-ए-पीर / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Salare Sahaba Wo Pahla Khalifa Lyrics - सालारे सहाबा वो पहला खलीफा - English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

mere ghar mein saja hai aaj maula ka dastarkhwaan Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / in English Hindi and Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Siddiq Maula Mere Maqabat Lyrics || सिद्दीक़ मौला मेरे || Roman-English Hindi Urdu || Hafiz Tahir Qadri

Madine ke Aaqa Madine ke Sarwar Salam Lyrics / मदीने के आक़ा ! मदीने के सरवर ! सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics