Ya Gaus Piya Rangado Mori Aesi Chunariya
Itraye Firu Sari Mai Bagdad Nagariya
Chunri ko meri rang do rang chht na jaae
Mohabbat bhi aesi Dil tut na jae
Hoti hai badi chor Zamane ki nazariya
Itraye Firu Sari Mai Bagdad Nagariya
Ya Gaus Piya..........
Khush hoke chala hu mai gausul vara ke ghar
Ruk ruk ke keh raha mujse ye mera dil
Aau mai har dam tori bagdad nagariya
Itraye Firu Sari Mai Bagdad Nagariya
Ya Gaus Piya..........
Ya gaus piya dar pe tore aan khade hai
Ummid liye dar se tore bahar khade hai
Hujre se bahar aao karo ham par nazariya
Itraye Firu Sari Mai Bagdad Nagariya
Ya Gaus Piya..........
Sakhiya balae gaae hurien balae le
Jitni balae lele utni duaein de
Pangat jab aau mai tore ghar pe gagariya
Itraye Firu Sari Mai Bagdad Nagariya
Ya Gaus Piya..........