Mehfil e Milad Karne Ki Lagan Zinda Rahe
Mehfil e Milad Karne Ki Lagan Zinda Rahe
Aashikan e mustafa ka ye chalan zinda rahe
Har taraf naare hi naare amade sarkar ke
Sunniyon ka leh lahata ye chaman zinda rahe
Chaar su khushiya hi khushiya aapke aane ki hai
Ya nabi jashne viladat ki lagan zinda rahe
Ham manate hi rahenge unke aane ki khushi
Dushmane jashne viladat ki jalan zinda rahe
Naat ke ash'aar sun kar ye kaha sarkar ne
Ta umar jaari tumhara ye lahan zinda rahe
Zindagi bekar hai jo ho na ishk e mustafa
Ya khuda ishk e muhammad ki lagan zinda rahe
Ye shahidon ke lahu ki dosto aavaz hai
Mar gae jo aap par unke kadam zinda rahe
Ham hai namus e nabi ke paasbaa hai paasabaa
Unpe jaa kurban karne ka vachan zinda rahe
Mujko de tasir maula ho kalam mai roshni
Ae UJAGAR shayari ka mera fan zinda rahe
Comments
Post a Comment