roz-o-shab josh pe rahmat ka hai dariya tera roz-o-shab josh pe rahmat ka hai dariya tera sadqe is shaan-e-sakhaawat pe ye mangta tera haath uthe bhi na the aur mil gaya sadqa tera waah ! kya jood-o-karam hai shah-e-bat'ha tera nahi,n, sunta hi nahi.n maangne waala tera wo haqeeqat teri, jibreel jise na jaane kis tarha log bhala rutba tumhaara jaane tod de likh ke qalam yunhi.n, jo likhna jaane farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane khushrawa 'arsh pe udta hai farera tera na koi tujhsa sakhi hai, na koi mujhsa ghareeb chashm-e-bedaar ! jagaa de, mere khwaabida naseeb tu jo chaahe wo wahi chaahe, tum itne ho kareeb mai.n to maalik hi kahunga, ke ho maalik ke habeeb yaa'ni mahboob-o-muhib me.n nahi.n mera-tera na koi tujhsa sakhi hai, na koi mujhsa ghareeb ek nazar teri jagaaye, mere khwaabida naseeb qurb-e-haq usko mila jo tere qadmo.n se kareeb mai.n to maalik hi kahunga, ke ho maalik ke habeeb yaa'ni mahboob-o-muhib me.n nahi.n mera-tera jaayegi KHuld me.n, aa...