Shukr-e-Khuda Ke Aaj gadi us safar ki hai
Roman(ENG):
shukr-e-KHuda ke aaj gari us safar ki haijis par nisaar jaan falaaho zafar ki hai
garmi hai, tap hai, dard hai, kulfat safar ki hai
na-shukr ! ye to dekh 'azeemat kidhar ki hai
kis khaak-e-paak ki tu banee khaak-e-pa shifa
tujh ko qasam janaab-e-maseeha ke sar ki hai
aab-e-hayaat-e-rooh hai zarqa ki boond-boond
akseer aa'zam-e-mas-e-dil khaak dar ki hai
humko to apne saaye mei.n aaram hi se laaye
heele-bahaane waalo.n ko ye raah dar ki hai
luTte hei.n maare jaate hei.n yu.n hi suna kiye
har baar dee wo aman ki ghairat hazar ki hai
wo dekho jagmagaati hai shab aur qamar abhi
pahro.n nahi.n ke bist o chaahrum safar ki hai
maah-e-madina apni tajalli 'ataa kare
ye dhalti chaandni to pahar do-pahar ki hai
unke tufail haja bhi KHuda ne kara diye
asl-e-muraad haazri, us paak dar ki hai
kaa'be ka naam tak na liya taibaa hi kaha
poochha tha humse jisne ki nuhzat kidhar ki hai
kaa'ba bhi hai unhi.n ki tajalli ka ek zil
roshan unhi.n ke 'aks se putli hajar ki hai
maula 'ali ne waari teri neend par namaaz
aur wo bhi 'asr sabse jo aa'la khatar ki hai
siddeeq balke ghaar mei.n jaa.n us pe de chuke
aur hifz-e-jaa.n to jaan furooze garar ki hai
haa.n tu ne unko jaan, unhe.n fer di namaaz
par wo to kar chuke the jo karni bashar ki hai
saabit hua ki jumla faraaiz furu' hei.n
asl-ul-usool bandagi us taajwar ki hai
mujrim bulaaye aaye hei.n 'jaau-k' hai gawaah
phir radd ho kab ye shaan kareemo.n de dar ki hai
bad hei.n magar unhi.n ke hei.n baaghi nahi.n hei.n hum
najdi na aaye usko ye manzil khatar ki hai
tuf najdiyat na kufr na islaam sab pe harf
kaafir idhar ki hai na udhar ki adhar ki hai
haakim-hakeem daad-o-dawa de, ye kuchh na de
mardood ye muraad kis aayat khabar ki hai
shakl-e-bashar mei.n noor-e-ilaahi agar na ho
kya qadr us khameer-e-maa-o-madar ki hai
zikr-e-KHuda jo unse juda chaaho, najdiyo !
wallah ! zikr-e-haq nahi.n kunji sakar ki hai
be unke waaste ke KHuda kuch 'ataa kare
haasha galat-galat ye hawas be-basar ki hai
maqsood ye hai aadam-o-nooh-o-KHaleel se
tukhm-e-karam me.n saari karaamat samar ki hai
zaahir me.n mere phool, haqeeqat me.n mere nakhl
us ghul ki yaad mei.n ye sadaa bul bashar ki hai
pahle ho unki yaad ki paaye jila namaaz
ye kehte hei.n azaan jo pichhle pahar ki hai
duniya mazaar hashr jahaa.n hai ghafoor hai
Har Manzil Apne Chaand Ki Manzil Gafar Ki Hai
Un Par Durood Jinko Hajar Tak Kare Salaam
Un Par Salaam Jinko Tahiyyat Shajar Ki Hai
Un Par Durood Jinko Kase Be-kasa Kahe
Un Par Salaam Jinko Khabar Be-khabar Ki Hai
Jinno Bashar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Yeh Bargah Maalik E Jinno Bashar Ki Hai
Shamso Qamar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Khubi Unhi Ki Jyot Se Shamso Qamar Ki Hai
Sab Bahro Bar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Tamlik Unhi Ke Naam To Har Bahro Bar Ki Hai
Sango Shajar Salaam Ko Haazir Hai Assalam
Kalme Se Tar Zabaan Darakhto Hajar Ki Hai
Arzo Asar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Malja Ye Baargah Dua O Asar Ki Hai
Shorida Sarr Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Raahat unhi Ke Qadmo Me Shorida Sarr Ki Hai
Khasta Jigar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Marham Yahi Ki Khaak To Khasta Jigar Ki Hai
Sab Khushko Tar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Ye Jalwa Gaah Maalike Har Khushko Tar Ki Hai
Sab Karro Far Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Topi Yahi to Khaaq Pe Har Karro Far Ki Hai
Ahle Nazar Salaam Ko Hazir Hai Assalam
Ye Gard Hi Surma Sab Ahle Nazar Ki Hai
Aansu Baha Ki Beh Gaye Kaale Gunah Ke Dher
Haathi Dubav Jheel Yaha Chashme Tar Ki Hai
Teri Kaza Khaleefa E Ahkaame Zil jalaal
Teri Raza Haleef Kazawo Kadar Ki Hai
Yeh Pyari Pyari Kyari Tere Khaana Baagh Ki
Sard Isko Aabo Taab Se Aatash Safar Ki Hai
Jannat Me Aa Ke Naar Me Jaata Nahi Koi
Shukre Khuda Naweed Najaato Zafar Ki Hai
Mo'min hu Mo'mino Pe Rauf Ur Raheem Ho
Sa-il Hu Sa-ilo Ko Khushi La-Nahar Ki Hai
Daaman Ka Waasta Mujhe Is Dhup Se Bacha
Mujhko To Shaak Jaado Me Us Duphar Ki Hai
Maa Dono Bhai Bete Bhateeje Azeez Dost
Sab Tujhko Soupe Milk Hi Sab Tere Ghar Ki Hai
Jin Jin Muraado Ke Liye Ahbaab Ne Kaha
Peshe Khabeer Kya Mujhe Haajat Khabar Ki Hai
Fazle Khuda Se Ghaib E Shahadat Hua Unhe
Iss Par Shahadat Aayato Wahiyo Asar Ki Hai
Kahna Na Kahne Wale The Jab Se Tu ittela'a
Maula Ko Qoulo Qailo Har Khusko Tar Ki Hai
Unn Par Kitaab Utri Bayaanul Li-Kulli Shay
Tafseel Jisme Abaro Ma Gabar Ki Hai
Aage Rahi Ataa Wo Baqadre Talab To Kya
Aadat Yaha Ummeed Se Bhi Beshtar Ki Hai
Be Maange Dene Wale Ki Ne'amat Me Gark Hai
Maange Se Jo Mile Kise Faham Is Kadar Ki Hai
Ahbaab Iss Se Badh Ke To Shayad Na Paaye Arz
Na Karda Arz Arz Ye Tarze Digar Ki Hai
Dandaa(n) Ki Naat Khwa Hu Na Payab Hogi Aab
Naddi Gale-Gale Mere Aabe Guhar Ki Hai
Dashte Haram Me Rehne De Sayyad Agar Tujhe
Mitti Azeez Bulbule Be-Baalo Par Ki Hai
Ya Rabb Raza Na Ahmade Parina Hoke Jaay
Ye Bargah Tere Habeebe Abarar Ki Hai
Taufeeq De Ki Aage Na Paida Ho Khu-e Badd
Tabdeel Kar Jo Khaslate Badd Peshtar Ki Hai
Aa Kuch Suna De Ishq Ke Bolo(n) Me Ay RAZA
Mushtaq Tab-a Lazzate Soze Jigar Ki Hai
Naat By : Ala Hazrat Imam Ahmad Raza
Comments
Post a Comment