Shukr-e-Khuda Ke Aaj gadi us safar ki hai Lyrics / शुक्र‑ए‑ख़ुदा के आज गड़ी उस सफ़र की है / شکرِ خدا کے آج گھڑی اُس سفر کی ہے
shukr‑e‑khuda ke aaj gari us safar ki hai shukr‑e‑khuda ke aaj gari us safar ki hai jis par nisaar jaan falaaho zafar ki hai garmi hai, tap hai, dard hai, kulfat safar ki hai na‑shukr! ye to dekh azeemat kidhar ki hai kis khaak‑e‑paak ki tu banee khaak‑e‑pa shifa tujh ko qasam janaab‑e‑maseeha ke sar ki hai aab‑e‑hayaat‑e‑rooh hai zarqa ki boond‑boond akseer aa‘zam‑e‑mas‑e‑dil khaak dar ki hai humko to apne saaye mein aaraam hi se laaye heele‑bahaane waalon ko ye raah dar ki hai lutte hain maare jaate hain yun hi suna kiye har baar dee wo aman ki ghairat hazar ki hai wo dekho jagmagaati hai shab aur qamar abhi pahron nahin ke bist o chaahrum safar ki hai maah‑e‑madina apni tajalli ‘ataa kare ye dhalti chaandni to pahar do‑pahar ki hai unke tufail haja bhi...