Roman(ENG): ab tangi-e-daamaa.n pe na ja aur bhi kuchh maang he.n aaj wo ma.il ba-'ata aur bhi kuchh maang har-chand ke aaqa ne bhara hai tera kashkol kam-zarf na ban haath bada Aur bhi kuchh maang sultaan-e-madina ki ziyaarat ki du'aa kar jannat ki talab chiz hai kya, aur bhi kuchh maang maana ke isi dar se ghani hoke utha hai fir bhi dar-e-sarkar pe ja aur bhi kuchh maang jin logo.n ko ye shaq hai karam unka hai mahdood un logo.n ki baato.n pe na jaa aur bhi kuchh maang de sakte he.n kya kuchh ke wo kuchh de nahi.n sakte ye bahes na kar, hosh me.n aa, aur bhi kuchh maang us dar pe ye anjaam hua husn-e-talab ka joli meri bhar bhar ke kaha, aur bhi kuchh maang pahuncha hai jo is dar pe tu reh-reh ke naseer aaj aawaaz pe aawaaz laga aur bhi kuchh maang Naat-Khwaan: Yusuf Memon Owais Raza Qadri हिंदी (HINDI): अब तंगी-ए-दामां पे न जा और भी कुछ मांग हैं आज वो मा'इल ब-'अता , और भी कुछ मांग हर-चंद के आक़ा ने भरा है तेरा कश्कोल कम-ज़र्फ़ न बन, हाथ बड़ा, ...