aye charagare shauq! koi aisi dawa de - English aye charagare shauq! koi aisi dawa de jo dil se har ek ghair ki chahat ko bhula de bas dekh liya duniya ke rishton ka tamasha makhluq se ummid ke sab deep buja de pakiza tamannaein bhi laati hein udaasi har zauq-e-talab shauq-e-tamanna hi mita de kyun nek gumaanon ke sahaare pe jiye hein in saare farebon ko suraagon ko hata de dekhe ya na dekhe ye to mahboob ka haq hai na to aah-o-fugaan kar na hi ghairon ko gila de de lazzat-e-didar ki behoshi mein wo hosh jo hasti ki tarif-o-ta'ayyun ko ganwa de ek main hun fakat tu ho aur aalam-e-hu ho aye husn-e-azal sare hijaabat utha de naasoot-o-malaakut-o-jabroot ke ahwaal laahuti-o-hahooti dawaeel mein mila de main khud ko bhi khud apne se phir dhoondh na paun yun aatish-e-sozaan se meri raakh jala de hun tere hijaabat ki dehliz pe kabse ek baar zara dekh le ek parda hata de hai rooh ko har lamha tere wasl ki ummid aazisht...