Dua-e-Qunoot ek bahut hi mashhoor aur maqbool dua hai jo Hanafi maslak mein Namaz-e-Witr ke andar padhi jaati hai. Is dua ka asal maqsad Allah Ta’ala se madad talab karna, uski maghfirat mangna, us par imaan aur bharosa jatana, aur uski rehmat ki umeed rakhna hai. Hanafi fiqh ke mutabiq, Witr ki tisree raka'at mein sura-e-fatiha aur dusri surat padh lene ke baad allahu-akbar kehte hue apne hathon ko uthana hai aur naaf ke niche bandh lena hai is ke baad ye dua padni hai. Ye dua humein yeh yaad dilati hai ki har mushkil mein sirf Allah hi hamara madadgaar hai aur humein hamesha uski shukar guzaari karni chahiye. Agar aap apni namaz ko behtar banana chahte hain ya bachchon ko Witr ki dua sikhana chahte hain, to Dua-e-Qunoot ko samajh kar aur dil se padhiye. Neeche is dua ka Roman-Hindi tarjumah diya gaya hai. Arabic: اَللَّهُمَّ إنا نَسْتَعِينُكَ وَنَسْتَغْفِرُكَ وَنُؤْمِنُ بِكَ وَنَتَوَكَّلُ عَلَيْكَ وَنُثْنِئْ عَلَيْكَ الخ...