apni rahmat ke samandar mein utar jaane de apni rahmat ke samandar mein utar jaane de be thikana hun azal se mujhe ghar jaane de soo-e-bat'ha liye jaati hai hawa-e-bat'ha bu-e-duniya mujhe gumrah na kar jaane de be thikana hun azal se mujhe ghar jaane de maut par meri shahidon ko bhi rashk aayega apne qadmon se lipat kar mujhe mar jaane de be thikana hun azal se mujhe ghar jaane de khwahish-e-zaad bahot saath diya hai mera ab jidhar mera muhammad hai udhar jaane de be thikana hun azal se mujhe ghar jaane de rok rizwan na muzaffar ko dar-e-jannat par ye muhammad ka hai manzur-e-nazar jaane de be thikana hun azal se mujhe ghar jaane de अपनी रहमत के समंदर में उतर जाने दे अपनी रहमत के समंदर में उतर जाने दे बे-ठिकाना हूँ अज़ल से मुझे घर जाने दे सू-ए-बत्हा लिए जाती है हवा-ए-बत्हा बू-ए-दुनिया मुझे गुमराह न कर जाने दे बे-ठिकाना हूँ अज़ल से मुझे घर जाने...